Us Hussain ibn-e-Hayder pe lakhoon Salaam
Kar lia nosh jis ne shahadat ka jaam
Jis ko dhokay say koofay bulaya gaya jis ko baithay bithaye Sataya gaya
Jis kay bachoon ko piyasa rulaya gaya jis ki garden pe khanjar chalaya gaya
Us Hussain ibn-e-Hyder pe lakhoon Salaam
Jis ka jannat say jorha mangaya gaya jis ko dosh-e-Nabi pe bithaya gaya
Zahar bhai ko jis kay pilaya gaya jis ko teroon say chalne karaya gaya
Us Hussain ibn-e-Hyder pe lakhoon Salaam
Jis ne Haq karbala man ada kar dia apnay Nana wada wafa kardia
Sab kuch ummat ki khatir fida kar dia ghar ka ghar hi supard-e-Khuda kar dia
Us Hussain ibn-e-Hyder pe lakhoon Salaam
Kar chuka wo Habeeb apni Hujjat Tamam lay ke ALLAH aur apne Nana ka Naam
Koofiyoon ko sunaye Khuda kay klam aur fida ho gaya wo wahin tashna kam
Us Hussain ibn-e-Hyder pe lakhoon Salaam