Rukh-e-Mustafa ko daikha to diyoon nay chalna sekha
Ye karam hay Mustafa ka shab-e-Gam nay dhalna sekha
Ye Zameen Ruki hui they ye falak thama hua tha
Chalay jab meray Mustafa to jahan nay chalna sekha
Bara khush Naseeb hoon main meri khush Naseebi hay daikho
Shah-e-Anbiya kay Tukrhoon pe hay main palna sekha
Man gira nahin jo ab tak ye kamal-e-Mustafa hay
Meri Zaat nay Nabi say hay sanbhalna sekha
Mera dil barha hi bay has tha kabhi nahi ye Tarhpa
Suni naat jab Nabi ki to ye dil machlna sekha
Main talash main tha Rabb ki kahan dhoondhta main us ko
Lia Naam jab Nabi ka to Kuda say milna sekha
Man Raha Khalash Muzafar Darr-e-pak Mustafa par
Meri Jazzb-e-Aashiqi nay kahan ghar badalna sekha