Ka’abe ke dar ke saamne mangi hey yeh dua faqat
Haathon me Hash’r tak rahe Daman-e-Mustafa faqat
Apne karam se Aay Khuda! Ishq-e-Rasool kar ata
Aakhiri dum zaban pe ho Salle ALLAH sada faqat
Taiybah ki saiyr ko chaley Qadmo meyn un ki jaan deyn
Daf’n hon un ke shaha’r meyn hey yahi iltija faqat
Dunya ki saari ne’mateyn meri nazar meyn heych heyn
Rakhne ko sar pe gar miley Na’alain-e-Mustafa faqat
Munkar Nakeer qab’r me hum se suwal jab kareyn
Aiyse meyn vird hum rakhe Aapke Naam ka faqat
Naza’a ke waqt jab meri saanso me intishaar ho
Meri nazar ke samne Gumbad ho wo Hara faqat
Na’at-e-Rasool-e-Paak hey Nazmi ka maqsad-e- hayaat
Qab’r meyn bhi labon pe ho Sarkar ki sana faqat