Mere Aaqa Aao Ke Muddat

Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai
Teri Rah May Akhiya Bichate Bichate
Teri Hasrato May Teri Chahato me

Qayamat Ka Manzar Bada Pur khatar hai
Magar Mustafa Ko jo Diwana Hoga
Woh Pool Se Guzar Jaayega Wajd Karte
Ye Naara Nabi Ka Lagate Lagate

Mere Lab Pe Maula Na Koi Sada Hai,
FAaqat Mujh Nikamme Ki Yehi Dua Hai
Mere rooh Nikle Dar-e-Mustafa Pe
Game-e-Dil Nabi Ko Sunate Sunate

Ye Maana Ke Ek Din aani Qaza Hai
Magar Dosto Tumse Ye Iltijaa Hai
Sehre-e-Muhammad ki Har Ek Gali Se
Jaanaza Oothana Ghumate Ghumate

Hai Kaabe Ki Azmat Bhi Apni Jaaga Par
Magar Dil Me Hakim Tamanna Yahi Hai
Jo Mil Jaaaye Naqshe Kafe Paaye Ahmed
To Mar Jaaaye Sar Ko Jhukate Jhukate


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46