Teri inayat par Khudaya nigah sab ki lagi hui hay

Teri inayat par Khudaya nigah sab ki lagi hui hay
Teri inayat ki badolat sabhi ki bigrhi bani huwi hay
Too Aasman-o-Zameen ka Rabb hay, sabhi ko mola teri talab hay
Teri Gulami hi teray bandoon ko do jahanoon ki khusrawi hay
Too Hyyu-o-Qayoom hay Ilahi hay char soo teri badshahi
Tamam aalam hay tera ya Rabb too saray aalam ki roshni hay
Jo teri Qudrat kay han Muzhir Qadam Qadam par han Aashkara
Teri karshmoon ki dhoom ya Rabb Zamanay bhar man machi hui hay
Teri hi Tasbeeh man magan han hay Zikr tera har aik lab par
Hay koo ba koo koiloon ki “koo koo”chaman bulbul chehk rahi hay
Teri Sana kon kar sakay ga Qadam yahan kon dhar sakay ga
Magar jisay bhi to nay chaha usay ye tofeeq bakhash de hay
Yoon hi rahi is pe chasham-e-Rahmat Qalam rahay is ka waqaf midhat
Ke tera yameen to hameshah teri karam hi ka maktaji hay


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46