Madeenay kay zayer un say kehna

Madeenay kay zayer un say kehna
Tarhptay han teray Gulam Un say kehna

Ho jab samne sabz-e-Gunbad Tumharay
Nigah-e-Aqeedat say Daman Pisaray
Hay Hazir Tumhara Gulam Un say kehna
Madeenay kay Zayer Salam Un say kehna

Barhi chahatoon say hay Is dar ko Paya
Parha hi rahoon dar na chootay Tumhara
Na jaon ga ab tashna kaam un say kehna
Madeenay kay zayer salam un say kehna

Isey Aarzoo man guzratay rahay din
K puhunchain Diyar-e-Nabi ham bhi lakin
Nahi hay koi Intizam Un say kehna
Madeenay kay zayer Un say salam kehna
Guma is Tarah shaha apni wila man
Khumar-e-Muhabbat ho har ik ada man
Yoon hi ho basar Subuh wa sham Un say kehna
Madeenay kay Zayer Salam Un say kehna
Shareeat pe Uthay Mera jo Qadam ho
Wazeefa Teray Naam ka dam badam ho
Ye Umar yoon hi Tamam Un say kehna
Madeenay kay Zayer Salam un say kehna

Dikha do Anas ko wo dilkash Nizaray
Tarastay han jin ko Muslman saray
Ye batain basad Ihtiram Un say kehna
Madeenay kay Zayer Salam Un say kehna


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46