Man hoon Gam-e-Tayyibah man girftar chunacha
Hain deedah-e-dil zindah-e-baidar chunacha
Gam bhi han madawa bhi han Gam ka meray Aansoo
Rahti hay sada Aankh ghar bar chunacha
Juz chashm-e-Muhammad koi daikhay na Khuda ko
Moosa ka Muqaddar na tha deedar chunacha
Makhlooq man koi bhi na tha un sa Mukarram
Bakhasha ki bandhi un pe hi distaar chunach
Tums a to na Sadiq hay koi aur na ameen hay
Dushman ko bhi karna parha iqrar chunacha
Mahdood bashar tak na rahay un ki buzurgi
Jhuk jatay thay Ta’zeem ko ashjar chunacha
Ab Aap hi Aakar mujhay daman ki hawa dain
Zindah usi hasrat man hay beemar chunacha
Idraak say baala hay Takhyyul say paray hay
Mahroom rasaye say han afkar chunacha
Rahta hay adeeb Aap ki Naatoon kay chaman man
Likhta hay naye Rang man har baar chunacha