Ashkoon pe say bhi likh un ki sana un ka Qaseedah
Likh jesay wo hain ayesa na deedah na shuneedah
Jab yaad kia qal’b nafah Aahoon
Jab naam lia ho gay lab shahid chakeedah
Daikha hay bulandi pe har ik ja sar-e-aflaak
Lakin usay daikha hay Madeenay man khameedah
Hasrat man ziarat ki bahay jatay hain Aansoon
Acha hay wuzu karta hay deedar ko deedah
Kia us ko khareedain gay salateen-e-Zamana
Aye Rahmat-e-Aalam! Teri Rahmat ka khareeda
Umat hay buhut zaar-o-praishaan karam kar
Chadar bhi dareedah hui’ daman bhi dareedah
Wo shayeri achi ke dikhaye jo ye manzar
Aagosh-e-karam man sag-e-dunya ka gazeedah
Muhtaj na hoga kabhi wo haath jo likhay
Us muatta-o-man’am ki sakhawat ka Qaseedah
Mahroom nahi hon gi basarat say wo aankhain
Go khuwab sahi, hoon Rukh-e-anwaar ki deedah
Bas ayek hi jhonka hay buhut shahr-e-Nabi ka
Awaz ye daitay hain tan-o-qal’b tapeedah
Laya dar-e-Rahmat pe mujhay jaadah-e-Rahmat
Kaafi meri bakhshash kay liye hay ye Qaseedah
Jis raah say guzra hay Adeeb un ki Sana man
Rukhshanda-o-tabinda’ darkhshan-o-damaidah