Naaz-e-dozakh ko chaman kar day bahar-e-aariz
Zulmat-e-hashar ko din karday nahar-e-aariz
Man to kia chez hoon Khud Sahib-e-Quraan ko shaha
Laakh Mushif say pasand aaye bahar-e-aariz
Jesay Quraan hay wird us gul-e-Mahboobi ka
Yoon hi Quran ka wazeefah hay waqar-e-aariz
Garcha Quraan hay na Quraan ki barabar lakin
Kuch to hay jis pe hay wo madah nigaar-e-aariz
Toor kia ar’sh jalay daikh kay wo jalw-e-garam
Aap aariz ho magar aayena daar-e-aariz
Tarfah aalam hay wo Quraan idhar daikhain udhar
Mushaf-e-Pak ho hairan bahar-e-aariz
Tarjuma hay ye Sifat ka wo Khud aayena Zaat
Kiyoon na Mushaf say ziyadah ho waqar-e-aariz
Jalwah farmayen rukh-e-dil ki siyahi mit jaye
Subuh ho jaye ilahi shab-e-taar-e-aariz
Naam-e-haq par karay mahboob dil-o-jaan qurbaan
Haq karay ar’sh say ta farsh nisar-e-aariz
Mushk bo zulf say rukh chehrah say balloon man shua’e
Mu’ejzah hay halb-e-zulf-o-tataar-e-aariz
Haq nay bakhsha hay karam nazr-e-gadayan ho qabool
Piyaray ik dil hay wo kartay hain nisaar-e-aariz
Aah bay mayegi dil ke Raza-e-muhtaaj
Lay kar ik jaan chala bahar nisar-e-aariz