Wo kamal-e-husun-e-Huzoor hay ke gumaan-e-nuqs-e-jahan nahi
Yehi phool khar say door hay yehi shama’e hay ke dhuwan nahi
Do jahan ki behtiryan nahi ke amani-e-dil-o-jaan nahi
Kaho kia hay wo jo yahan nahi magar ik nahi ke wo haan nahi
Man nisar teray kalaam par mili yoon to kis ko zaban nahi
Wo sukhun hay jis man sukhun na ho wo bayan hay jis ka bayaan nahi
Ba Khuda Khuda ka ka yehi hay dar nahi aur koi mafarr maqarr
Jo wahan say ho yaheen aa kay ho jo yahan nahi to wahan nahi
Karay Mustafa ki ihanatain khulay bandoon is pe ye juraatain
Ke ye man kia nahi hoon Muhammadi! Aray haan nahi aray haan nahi
Teray aagay yoon hain dabay luchay fusha arab kay barhay barhay
Koi jaanay munh man zuban nahi nahi balke jisam man jaan nahi
Wo sharaf ke qata’e hain nisbatain wo karam ke sab say qareeb hain
Koi kehdo yaas-o-umeed say wo kahain nahi wo kahan nahi
Ye nahi ke khuld na ho niko wo nikoi ki bhi hay aabroo
Magar aye Madeenah ki aarzoo jisay chahay to wo saman nahi
Hay unehain kay Noor say eyaan unehi kay jalwah man sab nihaan
Banay subuh tabash mahar say rahay paish mahria jaan nahi
Wo Noor-e-Haq wohi Zill-e-Rabb hay unehi say sab hay unehi ka sab
Nahi un ki milk man aasman ke zameen nahi ke zaman nahi
Wohi lamakaan kay makeen huway sar-e-ar’sh takhat nasheen huway
Wo Nabi hay jis kay hain ye makaan wo Khuda hay jis ka makaan nahi
Sar-e-ar’sh par hay teri guzar dil-e-far’sh par hay teri nazar
Malakoot-o-mulak man koi shay nahi wo jo tujh pe eyaan nahi
Karoon teray Naam pe jaan fida na bas ayek jaan do jahan fida
Do jahan say bhi nahi ge bhara karoon kia karoorhoon jahan nahi
Tera qad to na dar-e-dahar hay koi misl ho to misaal day
Nahi gul kay podoon man Daliyan ke chaman man sarw-e-chamaan Nahi
Nahi jis ke rang ka doosra na to ho koi na kabhi huwa
Kaho us ko gul kahay kia bani ke guloon ka dhair kahan nahi
Karoon madah ahle-e-duwal Raza parhay is bala man meri bala
Man gada hoon apnay kareem ka mera deen paarah-e-naan nahi