Zayero paas adab rakho hawas janay do
Aankhain andhi hui han un ko taras jaanay do
Sookhi jaati hay umeed-e-gurba ki khaiti
Boondiyan lika-e-Rahmat ki baras janay do
Palatati aati hay abhi wajad man jaan-e-shereen
Nagma-e-qum ka zara kanoon man ras jaanay do
Ham bhi chaltay hain zara qaaflay walo! Thehro
Ghathriyan tosha-e-umeed ki kas jaanay do
Deed gul aur bhi karti hay qiyaamat dil par
Hamsafeero hamain phir soo-e-qafs jaanay do
Aatash-e-dil bhi to bharhkao adab daan naalo
Kon kehta hay ke zabt-e- nafs jaanay do
Yoon tan-e-zaar kay dar pay huway dil kay shualo
Shaiwa-e-khana bar andazi khas jaanay do
Aye Raza aah ke yoon sahal katain juram kay saal
Do gharhi ki bhi ibadat to baras janay do