Momin wo hay jo un ki izzat pe maray dil say
Taazeem bhi karta hay najdi tu maray dil say
Wallah wo sun lain gay faryaad ko puhunchain gay
Itna bhi to ho koi jo aah karay dil say
Bichrhi hay gali kesay bigrhi hay bani kesay
Pocho koi ye sadmah armaan bharay dil say
Kia us ko giraye dahar jis par to nazar rakhay
Khaak us ko uthaye hashar jo teray giray dil say
Behka hay kahan majnoon lay daaley banoon ki khaak
Dam bhar na kia kheemah laila nay paray dil say
Sonay ko tapayen jab kuch meel ho ya mail
Kia kaam jahannam kay dharay ko kharay dil say
Aata hay dar-e-wala yoon zauq-e-Tawwaf aana
Dil jaan say sadqay ho sar gird phiray dil say
Aye abar-e-karam faryaad faryaad jala dala
Is sozash-e-gam ko hay zid meray haray dil say
Darya hay charha tera kitni hi urhayen khaak
Utrain gay kahaan mujrim aye af’w teray dil say
Kia janain ham gam man dil doob giya kesa
Kis tah ko gay armaan abtak na teray dil say
Karta to hay yaad un ki gaflat ko zara rokay
Lillah Raza dil say han dil say aray dil say