lau madiine kii tajallii se lagaa.e hu.e hai.n
dil ko ham matla-e-anvaar banaa.e hu.e hai.n
ik jhalak aaj dikhaa gumbad-e-kHazraa ke makii.n
kuchh bhii hai.n duur se diidaar ko aa.e hu.e hai.n
sar pe rakh diije zaraa dast-e-tasallii aaqaa
Gam ke maare hai.n zamaane ke sataa.e hu.e hai.n
naam kis mu.nh se teraa le.n ke tire kahlaate
terii nisbat ke taqaazo.n ko bhulaa.e hu.e hai.n
ghaT gayaa hai tirii ta.aliim se rishta apnaa
Gair ke saath rah-o-rasm ba.Dhaa.e hu.e hai.n
sharm-e-isyaa.n se nahii.n saamne jaayaa jaataa
ye bhii kyaa kam hai tire shahar me.n aa.e hu.e hai.n
tirii nisbat hii to hai jis kii badaulat ham log
kufr ke daur me.n iimaan bachaa.e hu.e hai.n
kaash diivaana banaa le.n vo hame.n bhii apnaa
ek duniyaa ko jo diivaana banaa.e hu.e hai.n
allaah allaah madiine pe ye jalvo.n kii phuvaar
baarish-e-nuur me.n sab log nahaa.e hu.e hai.n
kashtiyaa.n apnii kinaare se lagaa.e hu.e hai.n
kyaa vo Duube jo mohammad ke tiraa.e hu.e hai.n
naam aane se abuu-bakr-o-omer kaa lab par
kyuu.n biga.Dtaa hai vo pahluu me.n sulaa.e hu.e hai.n
haazir-o-naazir-o-nuur-o-bashar-o-Gaib ko chho.D
shukr kar vo tere aibo.n ko chhupaa.e hu.e hai.n
qabr kii nii.nd se uThnaa ko.ii aasaan na thaa
ham to mahshar me.n unhe.n dekhne aa.e hu.e hai.n
kyuu.n na pal.Daa tere a.amaal kaa bhaarii ho ‘nasiir’
ab to miizaan pe sarkaar bhii aa.e hu.e hai.n