kaalii kamlii vaale ai shaah-e-shab-e-israa kaunain ke rakhvaale darbaar alag teraa jibriil tiraa KHaadim mohtaaj hai jag teraa big.Dii ko sa.nvaare.ng dukh-dard ke a.alam me.n tujh ko hii pukaare.nge kyuu.n aur kisii ghar se jo kuchh hame.n milnaa hai milnaa hai tire dar se chaukhaT tirii aa.alii hai kuchh bhiik mile aaqaa jholii merii KHaalii hai milne hii nahii.n jaataa shaaho.n ko teraa ma.ngtaa KHaatir me.n nahii.n laataa ab kaun hamaaraa hai duulhaa shab-e-israa ke ik teraa sahaaraa hai |