Kya khabar kya saza mujh ko millti, mere aaqa ne izzat bchali
Frdِ e isiyaan meri mujh se le kar, kaali kamli mein apni chupali
woh ataa par ataa karne walay aur hum bhi nahi talnay walay
jaisi deorhi hai waisay bhikari, jaisa dataa hai waisay sawali
mein gadda hon magar kis ke dar ka? woh jo Sultan kon o makan hain
yeh ghulami barri mustand hi, mere sir par hai taaj blali
meri umar rawan bas thehr ja, ab safar ki zaroorat nahi hai
un ke qadmon mein meri jabeen hai aur hathon mein roze ki jaali
iss ko kehte hain bandah nawazi, naam iss ka hai rehmat mizaji
doston par bhi chashm-e karam hai, dushmanon se bhi sheree maqali
mein madeeney se kya agaya hon, zindagi jaisay bujh si gayi hai
ghar ke andar fiza sooni sooni, ghar ke bahar samaa khaali khaali
koi baad-e mukhalif se kahde, ab meri roshni mujh se cheenney
mein ne aankhon ki shammen bujha kar, dil mein tayyiba ki shama Jalali
mein faqat naam lewa hon un ka, un ki tauseef mein kya karoon ga
mein nah Iqbal Khusroo, nah Saadi, mein nah Qudsi nah Jami, nah Hali