‘adam se laa.ii hai hastii me.n aarzuu-e-rasuul
kahaa.n-kahaa.n liye phirtii hai justajuu-e-rasuul
KHushaa vo dil ki ho jis dil me.n aarzuu-e-rasuul
KHushaa vo aa.nkh jo ho mahv-e-husn-e-ruu-e-rasuul
talaash-e-naqsh-e-kaf-e-paa-e-mustafaa kii qasam
chune hai.n aa.nkho.n se zarraat-e-KHaak-e-kuu-e-rasuul
phir un ke nashsha-e-irfaa.n kaa puuchhnaa kyaa hai
jo pii chuke hai.n azal me.n mai-e-subuu-e-rasuul
balaa.e.n luu.n tirii ai jazb-e-shauq-e-salli-alaa
ki aaj daaman-e-dil khi.nch rahaa hai suu-e-rasuul
shagufta gulshan-e-zahraa kaa har gul-e-tar hai
kisii me.n ra.ng-e-alii aur kisii me.n buu-e-rasuul
‘ajab tamaashaa ho maidaan-e-hashr me.n ‘bedam’
ki sab ho.n pesh-e-KHudaa aur mai.n ruu-ba-ruu-e-rasuul