Aey Kaash! Tasawwur mein

Aey Kaash! Tasawwur mein Madeeney ki gali ho
Aur yaad Muhammedصلی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم ki mere dil meyn basi ho
Do suoz-e-Bilaal Aaqa mile dard-e-Raza sa
Sarkaar ataa ish’q-e-Owais-e-Qarni ho
Aey kaash! mayn banjaoon Madeeney ka Musafir
Phir roti huwi Taiybahh ko baraat chali ho
Phir Rahmat-e-Bari se chaloon suw-e-Madeenah
Aey kaash! Muqaddar se mayassar wo gharhi ho
Jab aown Madeeney meyn to ho chaak gareyban
Aankhuwn se barasti huwi ashkaun ki jharhi ho
Aey kaash! Madeeney mein mujhe maut youn aaye
Qadmuwn mein Tere sar ho meri Rooh chali ho
Jab le ke chalo ghuoristaan ko janazah
Kuch khaak Madeeney ki mere munh pe saji ho
Jis waq’t Nakireyn meri qab’r meyn aaeyn
Us waq’t mere lab pe saji Na’at-e-Nabi ho
ALLAH! Karam aysa kare tujh pe jahaan mein
Ai Ahle-e-Islam Teri dhoom machi ho
Aaqa ka gada hoon Aey jahan’nam tu bhi sunle
Wo kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho
Sadaqa mere murshid ka karoon door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan-e-dili ho
ALLAH ki Rahmat se to Jannat hi mile gi
Aey kaash! Muhalley me jagah un ke mili ho
Mahfooz sada Rakh’na Shaha be-adabuon se
Aur mujh se bhi sarzad kabhi be-aadabi ho
Attar Hamara hey sar-e-hashr aey kaash!
Das’te Shah-e-bat’ha se yehi chit’thi mili ho


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46