ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Qalb ko us ki Royat ki hay aarzoo
Jis ka jalwah hay Aalam man har char soo
Balkeh khud nafs man hay wo Subhanahu
Ar’sh par hay magar ar’sh ko justajoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Ar’sh-o-far’sh-o-zaman-o-jihat aye Khuda
Jis Taraf daikhta hoon Jalwa tera
Zarray Zarray ki Aankhoon man too hi Zia
Qatray Qatray ki to hi to Aabroo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Too Kisi jaa Nahi aur har jaa hay Too
Too Munzzah makan say Mubarrah zasoo
Ilm-o-Qudrat say har jaa hay too koobakoo
Teray jalway han har har jagah aye af’we
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Saaray aalam ko hay Teri hi Justajoo
Jinn-o-In’s-o-malak ko teri aarzoo
Yaad man Teri har eik hay Soo ba soo
Ban man wahshi lagatay hain dharbat-e-hoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Nagma Sanjan-e-Gulshan man charcha Tera
Geet teray hi gatay hain wo khush Guloo
Koi kehta hay Haq koi kehta hay Hoo
Aur sab kehtay hain La shareek lahu
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Bulbul-e-khush Nawa Toti-e-khush guloo
Zamzamah kahawan han gatay hain Nagmaat hoo
Qamri khush liqa boli Haqq Sirrahu
Fakhta khush ada nay kaha dost too
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Af’w farma khatain meri aye af’we
Shauq-o-tofeeq naiki ka day mujh ko too
Jari dil kar ke har dam rahay zikir ho
Aadat-e-bad badil aur kar naik khoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO
Khuwaab-e-noori man aayen jo nor-e-Khuda
Buqaa’-e-noor ho apna Zulmat kuda
Jagmaga uthay dil chehra ho pur zia
Noorion ki tarah shugul ho zikir hoo
ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO ALLAHOO