Ar’sh ki aqal dang hay charkh man asmaan hay
Jaan-e-muraad ab kidhar haye tera makaan
Bazam-e-sana-e-zulf man meri uroos-e-fikir ko
Saari bahar-e-hasht khuld chota sa itar daan hay
Ar’sh pe jaa kay murg-e-aqal thak kay gira gash aa gaya
Aur abhi manziloon paray pehla hi aastaan hay
Ar’sh pe taazah cherh charh farsh man tarfa dhoom dhaam
Kaan jidhar lagaye teri hi daastaan hay
Ik teray rukh roshni chain hay do jahan ki
Ins ka uns usi say hay jaan ki wohi jaan hay
Wo jo na thay to kuch na tha wo jo na hoon to kuch na ho
Jaan hain wo jahaan ki jaan hay to jahan hay
Gaud man aalam-e-shabaab haal-e-shabaab kuch na pooch!
Gulban-e-baag-e-noor ki aur hi kuch uthaan hay
Tujh sa siyaah kar kaun un sa shafee’a hay kahan
Phir wo tujhi ko bhool jayen dil ye tera gumaan
Paish nazar wo no bahaar sajday ko dil hay bay qaraar
Rokiye sar ko rokiye haan yehi imtihaan hay
Shaan-e-Khuda na saath day un kay kharaam ka wo baaz
Sidrah say taaz man jisay naram si ik urhaan hay
Baar-e-jalaal uthaa liya garcha kalaija shaq huwa
Yoon to ye maah-e-sabzah-e-rang nazroon man dhaan paan hay
Khauf na rakh Raza zara tu to hay abd-e-Mustafa
Teray liye amaan hay teray liye amaan hay