Bandah milnay ko qareeb-e-hazrat qadir giya lame-e-baatin man gumne jalwa-e-zahir giya
Teri marzi paagaya sooraj phhira ultay qadam teri ungli uth gaye ma ka kalaija chir gaya
Barh chali teri zia andhair aalam say ghata khul gaya gaisoo tira rahmat ka baadal ghar gaya
Bandh gaye teri hawa sa wo man khaak urhnay lagi barh chali teri zia aatash pe pani phir giya
Teri Rahmat say safiullah ka bairha paar tha teri haibat thi ke har but thar thara kar gir giaya
Momin un ka kia huwa Allah us ka ho gaya kafir un say kia phira Allah hi say phir giya
Wo ke us dar ka huwa khalq-e-khuda us ki hui wo ke is dar say phira Allah us say phir gaya
Mujh ko deewana batatay ho man wo hushiyar hoon paon jab tauf-e-Haram man thak gay sar phir giya
Rahmat-ul-lil Aalmeen Aafat man hoon kesi karoon meray mola man to is dil say bala man ghir gaya
Man teray haathoon kay sadqay kesi kinkiryaan theen wo jin say itnay kafiroon ka daf’atan munh phir gaya
Kiyoon janaab bu hurairah tha wo kesa jaam-e-sheer jis say satar Sahiboon ka doodh say munh phir gaya
Wasita piyaray ka ayesa ho ke jo Snni maray yoon na farmayen teray shahid ke wo faajir giya
Ar’sh par dhoomain macheen wo momin salih mila far’sh say maatam uthay wo Tayyib-o-Tahir giya
Allah Allah ye uluw-e-khaas abdiat-e-Raza bandah milnay ko qareeb-e-Hazrat-e-Qadir giya
Thokrain khatay phirogay unkay dar par parh raho qafila to aye Raza awwal giya aakhir giya
Ni’matain bantata jis simat wo zeeshan giya saath hi munshi-e-Rahmat ka qalam daan giya
Lay khabar jald ke gairoon ki taraf dhiyaan giya meray mola meray Aaqa teray Qurban giya
Aah wo Aankh ke nakaam-e-Tamanna hi rahi haye wo dil jo teray dar say pur arman giya
Dil hay wo dil jo teri yaad say mamoor raha sar hay wo sar jo teray qadmoon pe qurbaan giya
Unehian jana unehain mana na rakha gair say kaam Lillah-il-hamd man dunya say musliman giya
Aur tum par meray aaqa ki inayat na sahi Najdiyo! Kalmah parhaane ka bhi ihsaan giya
Aaj lay un ki panaah Aaj madad maang un say phir na maanain gay qiyamat man agar maan giya
Uf ray munkar ye barha josh-e-Tassub Aakhir bhairh man haath say kam bakht kay emaan giya
Jaan-o-dil hosh-o-khird sab to madeenay puhunchay tum nahi chaltay Raza saraa to samaan giya