Bheni suhani subuh man thandak jigar ki hay
Kaliyaan khileen diloon ki hawa ye kidhar ki hay
Khabti hoi nazar man ada kis sahar ki hay
Chubhti hui jigar man sada kis gujar ki ahy
Daalain hari hari hain to baalain bhari bhari
Kashat-e-amal pari hay ye bearish kidhar ki hay
Ham jayen aur qadam say lipat kar haram kahay
Sonpa Khuda tujh ko ye azmat safar ki hay
Ham gird kaabah phirtay thay kal tak aur aaj wo
Ham par Nisaar hay ye iraadat kidhar ki hay
Kalak jabeen ki sajdah-e-dar say churhao gay
Mujh ko bhi lay chalo ye tamanna hajar ki hay
Dooba hua hay shauq man zamzam aur aankh say
Jhaalay bars rahay hain ye hasrat kidhar ki hay
Barsa ke jaanay waaloon pe gohar karoon Nisaar
Abar-e-karam say ar’z ye mazaab zar ki hay
Aagosh shauq kholay hay jin kay laye hateem
Wo phir kay daikhtay nahi ye dhan kidhar ki hay
Haan haan rah-e-Madeenah hay gafil zara too jaag
Aopaoun rakhnay waalay ye ja chasham-o-sar ki hay
Waaroon qadam qadam pe ke har dam hay jaan-e-no
Ye raah-e-fiza meray mola kay dar ki hay
Gharhiyaan gini hain barsoon ke ye sub gharhi phiri
Mar mar kay phir ye sal meray seenay say sar ki hay
Allah-o-Akbar apnay qadam aur ye khaak-e-paak
Hasrat malayekah ko jahaan waza’e sar ki hay
Meraaj ka samaan hay khan puhunchay zaayero!
Kursi say ounchi kursi usi paak ghar ki hay
Ushaaq-e-roza sajdah man soo-e-Haram jhukay
Allah jaanta hay ke Niyyat kidhar ki hay
Ye ghar ye dar hay us ka jo ghar dar say paak hay
Mujdah ho bay ghar-o-ke Salaah achay ghar ki hay
Mahboob Rabb-e-arsh hay us sabz Qubbah man
Pehloo man jalwah gaah ateeq-o-umar ki hay
Chaaye malayekah hain laga taar hay Durood!
Badlay hain pahray badly man baarsh durar ki hay
Saadeen ka qiraan hay pehloo-e-maah man
Jhurmat kiye hain taaray tajalle qamar ki hay
Sattar hazaar subuh hain sattar hazaar shaam
Yoon bandagi zulf-o-rukh aathoon pahar ki hay
Jo ayek baar aaye dobarah na aayen gay
Rukhsat hi baargaah say bas us qadar ki hay
Tarhpa karain badal kay phir aana kahan Naseeb
Bay hukum kab majaal parinday ko par ki hay
Aye waaye bay kasi-e-tamanna kea b umeed
Din ko na shaam ki hay na shab ko sahar ki hay
Ye badliyaan na hoon to karoroon ki aas jaye
Aur baargaah marhamat-e-aam tar ki hay
Masoomoon ko hay umar man sirf ayekbaar bar
Aasi parhay rahin tawasalan umar bhar ki hay
Zindah rahian to haaziri-e-baargah Naseeb
Mar jayen to hayaat-e-abad aish ghar ki hay
Muflis aur aisay dar say phiray bay gani hui
Chandi har ik tarah to yahaan gadia gar ki hay
Janaan pe takiah khaak nahali hya dil nahaal
Haan bay nawaou khoob ye Soorat guzar ki hay
Hain chitar-o-takhat saaya-e-deewaar-o-khaak-e-dar
Shahoon ko kab Naseeb ye dhaj karr-o-far ki hay
Is paak ko man khaak basar sar bakhaak hain
Samjhay hain kuch yehi jo haqeeqat basar ki hay
Kiyoon taajdaro! Khawaab man daikhi kabhi ye shay
Jo aaj jholiyoon man gada yaan-e-dar ki hay
Jaar-o-kashoon man chehray likhay hain malook kay
Wo bhi kahan Naseeb faqat Naam bhar ki hay
Tayyibah man mar kay thanday chalay jaaou aankhain band
Seedhi sarhak ye shahar shafaat nagar ki hay
Aasi bhi hain chaheetay ye Tayyibah hay zahido!
Makkah nahi ke jaanch jahaan khar-o-shar ki hay
Shaan-e-jamaal-e-Tayyibah jaanaan hay nafa’e mahaz!
Wusat jalaal-e-Makkah man sood-o-zarar ki hay
Kaabah ha bay skhak anjuman aara dulhan magar
Saari bahaar dulhaniyoon man doolha kay ghar ki hay
Kaabah dulhan hay turbat-e-athar naye dulhan
Ye rashak-e-aftaab wo gairat qamar ki hay
Donoon baneen sajeeli aneeli bani magar
Jo pe kay paas kay wo suhagan kanwar ki hay
Sar sabz-e-wasal ye hay sayah posh-e-hajar wo
Chamki do patoon say hay jo haalat jigar ki hay
Ma-o-shuma to kia ke khaleel-e-jaleel ko
Kal daikhna ke un say tamanna nazar ki hay
Apna sharf dua say hay baaqi raha qubool
Ye jaanain un kay haath man kunji asar ki hay
Jo chahay un say maang ke donoon jahaan ki khair
Zarna khareedah ayek kaneez un kay ghar ki hay
Roomi gulam din habshi bandiyaan shabeen
Ginti kaneez zadoon man shaam-o-sahar ki hay
Itna ajab bulandi jannat pe kis liye
Daikha nahi ke bheek ye kis ounchay ghar ki hay
Ar’sh-e-bareen pe kiyoon na ho firdos ka dimaag
Utri hui shabia teray baam-o-dar ki hay
Wo khuld jis man utaray gi abraar ki barat
Adna nichawar us meray doolaha kay sar ki hay
Anbar zameen abeer hawa mushak-e-tar gubaar!
Adna se ye shanaakhat teri rahguzar ki hay
Sarkaar ham ganwaaroon man tarz-e-adab kahan
Ham ko to bas tameez yehi bheek bhar ki hay
Maanay gay maangay jayengay munh maangi paayen gay
Sarkaar man na la hay na haajat agar ki hay
Uf bay hayaiyan ke ye munh aur teray Huzoor
Haan tu kareem hay teri khoo dar guzar ki hay
Tujh say chupaoun munh to karoon kis kay saamnay
Kia pursash-e-aur jaa bhi sag-e-bay hunur ki hay
Baab-e-ata to ye hay jo behka idhar udhar
Kesi kharaabi us nighray dar badar ki hay
Abad aik dar hay tera aur teray siwa
Jo bargaah daikhay gairat khandar ki hay
Lab wa hain aankhain band hain phaili han jholiyaan
Kitnay mazay ki bheek teray paak dar ki hay
Ghaira andhariyoon nay duhaye hay chand ki
Tanha hoon kaali raat hay manzal khatar ki hay
Qismat man laakh paich hoo so bal hazaar kaj
Ye saari guthi ik teri seedhi nazar ki hay
Aesi bandhi naseeb khulay mushkilan khulen
Donon jahaan man dhoom tumhaari kamar ki hay
Jannat na dain, na dain, teri royat ho khair say
Us gul kay aagay kis ko hawas barg-o-bar ki hay
Sharbat na dain, na dain, to karay baat lutuf say
Ye shaheed ho to phir kisay parwa shukur ki hay
Man khana zaad kehna hoon soorat likhi hui
Bandoon kaneezoon man meray maadar pidar ki hay
Mangta ka haath uthtay hi data ki den thi
Doori qabool-o-ar’z man bas haath bhar ki hay
Sinki wo daikh bad shafaat ke day hawa
Ye aabroo Raza teray damaan-e-tar ki hay