Watan mera hay mujhay mat bay watan kehna
Mujhay Aawaz jab daina , Gulam-e-panjtan kehna
Duain panjtan kay naam say khali nahin jaaten
Nabi Khair-ul-Nisa , shabeer, Hayder aur Hassan khena
Piyam Aaqa ko day daina Saba! Saray Gulamoon ka
Buhut Tarhpa rahi hay ab madeenay ki lagan kehna
Tamana hay fida ho jaon Makkay aur Madeenay par
Bandhay iharam jo meray, usay mera kafan kehna
Fiza! Sooraj ko samjhana yehi to shahr-e-Aaqa hay
Madeenay man adab kay saath utray hra kiran kehna
Kamala-e-Aalfaaz jo Aaqa ki Naatoon man sajaye han
Haseen han us qadar saaray, unhain lal yaman kehna

No comments yet