Kya hamd kar sakegi meri zabaan teri !
Saari nishaniyañ Haiñ ay be nishaan Teri
Aql o Sha’oortak ki hoti nahiñ rasaayi
Kya zaat paa sakeñge wahm o gumaan Teri
Kaun o Makaañ ki har shai labbaik kar rahi hai
Har simt goonjti hai paiham azaan Teri
Jo shai hai sirf teri ay Khaaliq e Do Aalam
Har ek jism tera har ek jaan Teri
Hai teri kibriyayi saabit ba-har qareena
Baatin hai Shaan Teri zaahir hai Shaan Teri
Teri rabubiyyat ki aaghosh hai kushada
Har amn ki ameeñ hai be shak amaan teri
Khalid ko bandagi ka ikhlaas Tu ne bakhsha
Chaahi hai Iste’aanat Ay Musta’aan Teri
Naam Rabb e Anaam Hai Tera
Har Jagah Faiz Aam Hai Tera
Laa Makaani Hai Tera Wasf Magar
Qalb e Momin Maqaam Hai Tera
Tu Khaaliq Hai Tu Hi Maalik Hai
Jo Bhi Kuchh Hai Tamaam Hai Tera
Teri Marzi Kabhi Nahiñ Talti
Kitna Kamil Nizam Hai Tera
Jo hai Mushkil Kusha Ba-har Aalam
Mere Maula Woh Naam hai Tera
Tajurboñ Ne Yahi Bataaya Hai
Mehrbaani Hi Kaam Hai Tera
Lab-e ‘Khalid’ Ki Jaag Uthi Qismat
Tazkira Sub’ho Shaam Hai Tera
Ham ko apni talab say siwa chahiye
Aap jaisay han wesi Ata chahiye
Kiyoon kahoon ye ata wo Ata chahiye
Un ko maloom hay ham ko kia chahiye
Ik Qadam bhi na ham chal sakaingay Huzoor!
Har qadam par karam Aap ka chahiye
Ishaq man Aap kay ham Tarhaptay to han
Har Tarhap man bilali ada chaiye
Aur koi bhi apni tamana nahi
Un kay piyaroon ki piyari ada chaiye
Apnay qadmoon ka dhuwan Ata kijiye
Ham mareezoon ko Aab-e-shifa chahiye
Dard-e-jaami milay,Naat Khalid likhoon
Aur andaz-e-Ahmad Raza chahiye