tairay hotay janam liya hota
phir kabhi to tujhe mila hota
 
kash mein sang e dar tera hota
tairay qadmon ko choomta hota
 
to chala karta meri palkon par
kash mein tera rasta hota
 
zarra hota mein teri raahon ka
tairay talwoon ko chhoo liya hota
 
tairay maskan ke gird shaam o sahar
ban ke mangta mein phir raha hota
 
to kabhi to meri khabar laita
tairay koochy mein ghar liya hota
 
to jo aata mere janazay par
tairay hotay mein mar gaya hota
 
chore kar jannaten palat aata
to meri qabar par khara hota
 
larta phirta tairay a’adaa se
teri khatir mar gaya hota
 
hota tahir tairay faqeero mein
teri dehleez par khara hota
Poet :Dr Tahir ul Qadri

No comments yet