Azal say koi Nizaam sara chala raha hay wohi khuda hay
Nabi ka Sadqa jo har kisi ko khila raha wohi khuda hay
Nujoom say Pur falak ki chadar usi Musawwir ka hay karishma
Jo chand sooraj ko Aasman par saja raha hay wohi Khuda hay
Hay Piar kitna Nabi say Rabb ko Banaya hay Kia kisi ko ayesa
Jo laamakan par bhi Mustafa ko bula raha wohi Khuda hay
Dua Tarhap kar Too kar Munawwar keh daikh lay phir Huzoor ka dar
Qubool kar kay dua jo Tayyibah dikha raha hay wohi Khuda hay
Na kahin say door manzilain
Na koi Qareeb ki baat hay
Jisay chahay us ko nawaz day , ye dar-e-Habeeb ki bat hay
Jisay chaha dar pe bula lia jisay chaha apna bana lia
Ye baray karm kay faislay ye baray Naseeb ki baat hay
Wo bhatak kay rah man rih gaye ye machal kay dar say lipat gaye
Wo kisi ameer ki shan thee ye kisi Gareeb ki baat hay
Man buroon say laakh bura sahi magar un say hay mera wasita
Meri laaj rakh lay meray Khuda ye teray Habeeb ki baat hay
Tujhay aye Munwwar bay nawa dar shah-e-say chaye aur kia
Jo Naseeb ho kabhi samna to baray Naseeb ki bat hay
Dar paish ho Taiyybah ka safar kesa lagay ga
Guzrain jo wahan sham-o-sahar kesa lagay ga
Aye piyaray Khuda daikhon main sarkar ka jalwa
Mil jaye dua ko jo Asar kesa lagy ga
Yoon to guzartay han sabhi zindagi lakin
Darbar-e-Nabi main ho basar kesa lagay ga
Taiyybah ki saadat to yoon patay han hazaroon
Murshid kay saath ho jo safar kesa lagay ga
Aye kash Madeenay mian mujhay mout yoon Aaye
Qadmoon main ho sarkar kay sar kesa lagay ga
Jis dar pe shehnshahoon nay bhi daman han pasaray
Har saal wahan jaon agar kesa lagay ga
Paye hay Munawwar nay Qaza dar pe Nabi kay
Aaja kay watan ayesi Khabar kesa lagay ga