aaj asshk mere naat sunaein to ajab kya
sun kar woh mujhe paas bulayen to ajab kya
un par to gunehgaar ka sab haal khula hai
is par bhi woh daman mein chupayen to ajab kya
mun dhaanp ke rakhna ke gunehgaar bohat hon
maiyat ko meri dekhnay ayen to ajab kya
ae josh junoo paas adab bazm hai jin ki
is bazm mein tashreef woh layein to ajab kya
deedar ke qabil to nahi chasham tamanna
lekin woh kabhi khawab mein ayen to ajab kya
paband nawa to nahi faryaad ki rasmen
ansoo yeh mra haal sunaein to ajab kya
nah zaad safar hai nah koi kaam bhallay hain
phir bhi mujhe sarkar bulayen to ajab kya
haasil jinhein aaqa ki ghulami ka Sharf hai
thokar se woh mardon ko jalayen to ajab kya
woh husn do aalam hain Adeeb un ke qadam se
sehraa mein agar phool khil ayen to ajab kya
tairay zikar se meri aabaroo, teri shaan jal Jalalah to mere kalaam ka rang o bo, teri shaan jal Jalalah jo Chatak ke Ghuncha khulay yahan, to kere woh Wasf tera bayan hai chaman chaman teri guftagu, teri shaan jal Jalalah mere dil mein ashqِ nabi diya, jo diya bujha tha jala diya jisay chahay jaisay Nawaz y to, teri shaan jal Jalalah jo talabb ka bhaid hain jantay, woh tujhi ko tujh se hain mangte jo tre hue hain inhen ka to, teri shaan jal Jalalah yeh adab Adeeb mein tha kahan, tri shaan karta jo yun bayan hai tre karam se yeh surkhuru, tri shaan jal Jalalah |
Meray tarz-e-sukhun ki jaan hain gul bhi gulustaan bhi
Mera husun-e-bayan hay khaar bhi chaak-e-giraiban bhi
Meray daaman man, jugnoo hain jahan aur chand taaray bhi
Isi daaman man rakhtaa hoon kuch aahian aur shararay bhi
Jo meri umar ka hasil hay zik’r-e-Mustafa karna
Taqaza-e-Muhabbat hay bayan-e-karbala karna
Taqaza hay zameer-e-shayer haq go ki fitrat ka
Ke haq goi-o-baibaki pe mabni ho sukhun us ka
Bayan sayyid-ush-shuhadaa’e ki jab tamheed hoti hay
Wo hi ahad-e-wafa kay rasam ki tajdeed hoti hay
Hussain ibn-e-Ali, sabt-e-peyambar, sharf-e-Insaani
Wo jis kay rukh pet hi Noor-e-Muhammad ki farawani
Shaheed-e-karbala tareekh ka unwaan hay goya
Hussain ib’n-e-Ali har qal’b man mehmaan hay goya
Bataya’ kis tarah kartay hain ummat ki nigahbaani
Sikhaya, kis tarah rakhtay hain sajdoon man ye paishaani
Jalaya us ne zulmat man charaag-e-Noor-e-imaan
Ye sab kuch jaantay thay phir usay daitay na thay paani
Buhut hi mukhtasar’ bandoon say Rab ka fasla nikla
Haram say lay kay ahl-e-bait ko, jab qaflah nikla
Amaamah baandh kar ah’d-e-wafa ka, Karbala Jana
Tha ummat kay liye Maqsood un raahoon ka dikhlana
Wo rahain jo urooj-e-aadmiat ka sabab thihreen
Zawaal-e-zulum thehreen, Haq parastoon ka laqab thehreen
Arab ki sar zameen’ taptay huway sehra, khazaan kay din
Safar man thay Rasool-e-hashmi ki jaan-e-jaan kay din
Ye manzil aazmayesh ki barhi dushwaar hoti hay
Fiza man zahar hota hay, hawa aazar hoti hay
Jab hasti mard-e-momin ki supard-e-daar hoti hay
To saye kay liye sar par faqat talwaar hoti hay
Wo jis ki shaan man thi aayah tatheer-e-Qurani
Isi ki ahl-e-koofah nay kia naizoon say mehmani
Talab Nana say kausar ki shafaa’et ki sufarah bhi
Nawasay par wohi karnay lagay teroon ki barish bhi
Jalay khaimay badan chalni thay khoon man tar qabayen then
Khuda ko jo pasand aati hain wo saari adayen theen
Wo chehray Noor kay thay, gird jin kay Noor kay haalay
Banay wo khaak-o-khoon man ayek ho kar karbala waalay
Wo chehray wo badan jo ish’q ka israar hotay hain
Gubaar-e-khaak say un kay kafan tayar hotay hain
Na hota gar Muhammad ka gharaana ayesi mazal par
Tu urh jaata faraug deen ka mustaqbal dhuwan ban kar
Salaam us par ke jo Haq kay liye sar bhi kata aaya
Salaam us par jo ummat kay liye ghar bhi luta aaya
Salaam us par mera jo khoon kay darya man tera hay
Salaam us par ke jo Nana kay parcham ka pheraira hay
Salaam us par ke jis ne zindagi ko zindagi bakhshi
Saroon ko sar bulandi aur zauq-e-bandagi bakhshi
Salaam us par ke jo dosh-e-peyambar ki sawaari hay
Salaam us par ke jannat jis kay ghar ki raahdari hay
Teer seenay pe, barchi push’t par jhailay huway insaan
Salaam aye Fatimah ki god man khailay huway insaan
Buhut Aasan hay zik’r-e-shaheed-e-karbala karna
Daroon-e-qal’b mushkil hay wohi haalat bapa karna
Shaheed-e-karbala kay zikr ka mujh par jawaab Aaya
Ke teri Zaat man ab tak na koi inqilaab aaya
Saraasar aabroo bin gairat-e-sharam-o-haya ho ja
Agar mujh say Muhabbat hay to mera naq’sh-e-pa ho ja
Teri takreem man teri ta’zeem man kis ko shak hay bhala karbala karbala
Phir bhi mera qalam, tujh say shikway raqam aaj karnay chala karbala karbala
To faraat aashna’ tujh man dajlah rawan phir bhi aal-e-Muhammad ki sookhi zuban
Teray mehmaan thay, apnay mehmaan say to ne ye kia kia karbala karbala
Wastah un kay aaba’e ka day kar agar, mangtaa apnay seenah man zam zam ka ghar
Ik karshima dikhata wahan bhi Khuda, kiyoon na maangi dua karbala karbala
Raat ho din ho jab un kay hiltay jo lab, apne khaimoon man Quraan parhtay thay sab
To ne daikha ye sab, to ne khud bhi suna aur kuch na kia karbala karbala
Jin kay ahl-e-haram Noor-e-mastoor-e-Haq, chadrain jin kay sar ki quraan ka waraq
Jin kay khaimoon kay parday gilaaf-e-Haram, un ko loota giya karbala karbala
Aarzoo iltija hasratain manatain, jin kay qadmoon kay bosay ko hoorain karian
Ayesi shahzadiyan aur barbadian, to ne daikha kia karbala karbala
Wo sakeenah thi jo gam say mosoom thi, kitne maasoom thi kitne magmoom thi
Poochti phir rahi thi har ik say pata, to nay kia ke dia karbala karbala
Nasal say bu lahab ki wo do haath thay jin man naizah tha naizay pe far’q-e-Hussain
Kaash! Hotay Nabi to utarti wahan phir say karbala karbala
Ahl-e-bait aur un ki Muhabbat adeeb, ye muqaddar ye qismat’ ye roshan naseeb
Is wazeefah say raazi hay mujh say Khuda daikh ye martaba karbala karbala
Aaya na ho ga is tarah rang-o-shabab rait par
Gulshan-e-Fatimah kay thay saray gulab rait par
Jaan-e-batool kay siwa koi nahi khila saka
Qatra-e-Aab kay bagair itnay gulaab rait par
Tarsay Hussain aab ko man jo kahoon too bay adab
Lums-e-lab-e-Hussain ko tarsa hay aab rait par
Ish’q man kia lutaye ishq man kia bachaye
Aal-e-Nabi ne likh dia sara Nisaab rat par
Lazzat-e-sozash-e-bilaal, shoq-e-shahadat-e-Hussain
Jis nay lia yoonhi lia apna khitaab rat par
Jitney sawal ishq aal-e-Rasool say kiye
Ayek say barh kay ik dia sab ne jawaab rait par
Aal-e-Nabi ka kaam tha Aal-e-Nabi hi kar gay
Koi na likh saka Adeeb ayesi kitaab rait par
Zeenat-e-dosh-e-Mustafa tujh ko mera salaam hay
Noor-e-Nigah Fatimah tujh ko mera salaam hay
Manzal-e-hast-o-bood man kon abad maqam hay
Diakh raha hoon man Hussain ayek Tera hi Naam hay
Kashta-e-khanjar-e-tasleem-o-raza tujh ko Salaam
Mash’el-e-Noor-e-Muhammad ki Zia tujh ko Salaam
Nikaht-e-boo-e-gulustaan-e-wafa tujh ko Salaam
Aabroo-e-sadaf sadaq-o-Safa tujh ko Salaam
Dukhtar-e-khatam-e-Rusul jaan-e-peyambar Fatimah
Aye waqar-e-boo Turabi, shaan-e-Hayder Fatimah
Rooh ki tashna labi ko Aap kausar, Fatimah
Sajdah gaah-e-ahl-e-imaan, Aap ka dar Fatimah
Lut raha tha karbala man Aap ka ghar’ Fatimah
Aap nay daikha hay mahshar’ qabl-e-mahshar, Fatimah
Aap ki nisbat hui ham ko muyassar’ Fatimah
Aap ki madhat hui apna Muqaddar Fatimah
Zab’t kay khoogar Ali thay, Sab’r kay khoogar Hussain
Aap ki hasti man hain donoon hi johar Fatimah
Zee has’b, aala nas’b, Zahrah laqab, zoo-ul-ihtiraam
Sab say aala sab say afzal’ sab say behtar Fatimah
Kham shehnshaahan-e-aalam ki jabeen hay daikh kar
Aap ka naqsh-e-kaf-e-paye mutahhar, Fatimah
Bandage kia, deen kia, imaan kia, Islaam kia
Mustafa, Shair-e-Khuda, shabeer-o-shabar Fatimah
Sarfuroshi ka sabaq day, sabar day, ayesaar day
Ab kahan ayesi koi aagosh-e-madar, Fatimah
Ar’sh hil jata agar faryad ko uthtay wo haath
Aap ne rkha unehain chakki ka khoogar, Fatimah
Mustafa kay aura aal-e-Mustafa kay hain Gulaam
Apnay daman man chupalain ye samjh kar, Fatimah
Khatimah bilkhair ho ish’q-e-Nabi man jab Adeeb
Dal dain Rahmat ki is mujrim pe chadar Fatimah
Hui madah-e-peyambar aur hamd-e-khaliq-e-baari
Basad girya’ basad naala’ basad aah-o-basad zaari
Qalam hay dam bakhud’ jazbaat sakin’ rooh larzaan hay
Adeeb’ khatoon-e-Jannat’ Fatima Zahra ki hay baari
Kamala-e-Zikr-e-Zahra say agar hasti hui akmal
Jamaal-e-zikr-e-Noor-e-Fatima say dil bana ajmal
Tauqeer-e-Muhabbat hay ke ye Taseer-e-nisbat hay
Sukhun sanji hui ahsan zubaan daani hui afzal
Takhleeq man tasleem-o-Raza jin kay khasayel
Ma’soom mukhayyar’ mutsarrif’ mutkaffil
Sarkaar-e-do aalam ki tarah Fatima Zahra
Mushafiq’ mutabassim’ muthammil’ mutwakkil
Wo hamid-o-Mahmood ki ulfat ka Zahoor
Wo Rahmat-e-kul Qasim-e-maqsoom ka Noor
Ye shaan’ magar aalam-e-tasleem-o-raza
Cakki ki mushqqat’ ba tabassum manzoor
Shafeeun siraajun muneerun ki dukhtar
Shujaun shareefun shaheedun ki maadar
Wo hurmat khaatoon-e-jannat’ wo jannat ki hurmat
Ameerun jarun Ali jin kay shohar
Jis ko Rahman-o-Raheem-o-Rahmat-e-kul ka shauoor
Jis ko irfan-e-Muhammad’ jis ko faizaan-e-Rasool
Zee hasb’ aala nasab’ Zahra laqab’ zoo-ul-Ihtraam
Deednee-e-Mustafa aur deedah-e-Rahmat ka Noor
Ham talabgaar-e-sakhaawat ya Ali mushkil kusha
Tum inayat hi inayat Ya Ali mushkil kusha
Bazoo-e-khyber shikn, aur luqma-e-naan-e-juwein
Aye shanshah-e-qinaat ya Ali mushkil kusha
Aap ko nisbat Rasool-u-Allah say hay aur man
Aap say rakhta hoon nisbat Ya Ali mushkil kusha
Aashiqoon ka dil hay ka’bah aur dil ki dharhknain
Matrab-e-jashan-e-wilaadat ya Ali mushkil kusha
Mard-e-momin ka sahara’ Hurriyat ki Aabroo
Qalb-e-Momin ki hararat ya Ali mushkil kusha
Wo shujaat ho’ sakhawat ho’ qina’et ya jihad
Aap hi ki hay qiyaadat Ya Ali mushkil kusha
Fatih-e-khyber tumharay chahnay waloon pe aaj
Dushmanoon nay ki hay shiddat Ya Ali mushkil kusha
Phir wohi bagdaad-o-misr-o-shaam kay hain Shub-o-shaam
Deejiye shoq-e-shahadat Ya Ali mushkil kusha
Dar guzar man aap say barh kar koi guzra nahi
Aye saraapa-e-Muhabbat Ya Ali mushkil kusha
Dar guzar kejiye khata aur dejiye is qom ko
Apna bazoo’ apni himmat ya Ali mushkil kusha
Aap kay dar say adab say mangta hay ye adeeb
Sadqa khatoon-e-jannat Ya Ali mushkil kusha
Dar-e-maikhana wa hota hay ab josh-e-aqeedat ka
Sharaab un kay tasawwur ki saboo un ki muhabbat ka
Nazar kay saamnay sab ahl-e-dil aur ahl-e-nisbat hain
Khudawand bharam rakhna meri nisbat, meray gam ka
Himayat man’ imamat man’ shujaat man’ hawadis man
Ali daawar’ Ali rahbar’ Ali Hayder Ali Mola
Koi aabid’ koi aarif’ koi aatif’ koi aakif
Koi aajiz’ koi aali’ koi aashiq nahi ayesa
Qinaat man qalandar wo sakhawat man samandar wo
Shujaat man laqab hay quwat-e-parwardigaar un ka
Wo saifullah’ wajhullah’ Damaad-e-Rasool-u-Allah
Wo hi shabeer ka baazoo, wohi sarmaya Zahra
Butoon ka sar jhukaanay man’ diloon man ghar banane man
Wohi zarb-ul-fatah nikla, wo hi Khyber shikan thihra
Ameerun wo jariyun wo shujaaun wo shaheedun
wo faseehun wo baleegun wo khitaabat par jahan shaida
meri izzat meri azmat’ meri ulfat meri nisbat
Ali Mola Ali Mola Ali Mola Ali Mola
Adeeb un ki muhabbat man agar aankhoon man ashak aaye
Idhar aankhoon man nam hoga udhar lutuf-o-karam hoga
Na khanqah kay bahir na khanqah man hay
Jo boo turaab ka rutbah meri nigah man hay
Yehi hay dolat-e-imaan-o-eilam-o-aqal-o-yaqeen
Ali ko jis ne pukaara hay wo panah man hay
Gar jahan-e-fikr man darkar hay ik inqilaab
Fikr ki rahoon say uth kar ishq ka ho hamar kaab
Chak kar daaman fasoon-e-falsafah ka, marker
Ayek na’rah ya ali mushkil kusha ya boo turaab
Bahaal-e-gam dil-e-bay taab ra qarar’ ali
Kareem-o-bandah nawaz-o-karam shi’aar ali
Kharaab haal-o-khata kaar-o-dil-e-shikastah raa
Khata muaaf’ khuda taras’ gamgasaar’ ali
Har gardash-e-ayyam pe jo galib hay
Har naara-e-inqilaab ka jo qaalib hay
Har lamha-e-mushkil man talab hay jis ki
Wo Naam’ ali ibn-e-abi talib hay
Zi khaak-e-paye ala ma falak madaar shudaim
Ze lutuf-e-chasham-e-ala fasal-e-no bahaar shudaim
Hain cha faiz raseedi ze bosa-e-na’elain
Gunahgar ke boodaim-o-taajdar shudaim
Khda ka khof zik’r-e-Mustafa sarmaya-e-Usman
Sarwar-o-kaif Qurb-e-Mustafa sarmaya Usman
Bayan sarkar ki madhat sada, paraya-e-Usman
Na tha ayesa na ab hoga koi ham paya-e-Usman
Na tha aayenah dil par gubar-e-asbiat un ky
Agar che thya hareef-e-hashmi ajdaad sab un kay
Safa-e-batni un mukadar ho na sakta tha
Koi is dil man ab tukhum-e-riqabat boo na sakta tha
Jihalat kay andhairoon say nikal kar Noor man Aaye
Qaraabat wo miley do Noor walay Aap kehlaye
Qadam hijrat ka Makkah say nikala Aap ne pehlay
Habsh ko deen ka bakhsha ujaala Aap ne pehlay
Wo dor-e-jahiliyat jo bhara tha Aab-e-gulgoon say
Haya’e walay kay lab na aashna thay us kay afsoon say
Haya’e kay zik’r ka jab bhi koi unwaan hota tha
Lab-e-shaah-e-Madeenah par faqat usman hota tha
Nabi irshaad farmatay kitaabat Aap kartay thay
Barhi dushwaar thi manzil’ ba asaani guzartay thay
Ishaarah par nabi kay maal sab qurbaan ho jata
Jo hatim aaj hota, Aap ka darbaan ho jata
Yahoodi ko dia kul maal, shereen aab kay badlay
Huay sairaab tashnah lab Muslaman’ beer-e-roomah say
Banay wo bai’et-e-Rizwaan man Taaj-e-fakh’r ka Turrah
Nabi ne haath bai’et man jab un kay Naam par rakha
Maraakash say milay Kabul kay danday ah’d man jin kay
Huay islaam kay zair-e-nageen’ dunya kay ye hissay
Turabulus aur Africa bana islaam ka Hissah
Bagawat misir ki torhi’ fatah qabras bhi kar daala
Huwa jab koh-e-larzaan’ Mustafa ne us say farmaya
Ke tujh par ik Nabi’ Siddique ik aur ik shaheed Aaya
Shahdat mu’atbar thi’ ayek din ayesa bhi hona tha
Sar-e-tasleem apna kham kia’ ayesa bhi hona tha
Shahadat ka wo lamha’ wo tahmmul’ sab’r ka paikar
Jo akhlaaq-e-kareemana ka thehra aakhri manzar
فَسَیَکْفِیْکَھُمْ Aayat pe jab khoon aap ka tapka
Quran ka har waraq daaman ko phailaye huway lapka
Qiamat man karain gay log jab Quraan ki batain
Karain gay saath hi wo Hazrat-e-Usman ki baatain
Utar kar khoon kay darya man jo koi ubharta hay
Hata kar zeest kay parday ziyarat haq ki karta hay
Nahi marta Adeeb us raah man, jab koi marta hay
Wo kab marta hay jo raah-e-shahadat say guzarta hay
Aaye to kaatne kay liye sab kay paas marg
Rishta jo aadmi kay badan say hay jaan ka
Us tarah sy kisi ki tawadhu’e nahi hui
Khoon-e-shaheed kay liye daaman Quraan ka
Udhar tarteel-e-Qurani’ koi tarmeem Naa Mumkin
Jo aayat Hukum jo laye’ amal ayesa hi karna hay
Idhar tarteeb-e-usmani ke jo soorat jahan rakh di
Qiamat tak isi tarteeb say Quran parhna hay
To ne bhi ajab shaan dikhaye hay khudaya
Jab teeg nay khoon, Hazrat-e-usman bahaya
Girnay na dia qatrah khoon pehlay zameen par
Rahmat ne teri daaman-e-Quraan bichaya
Az Adam ta Muhammad Mustafa koi nahi ayesa
Ke jin kay aqad man do baitiyaan hon ik peyambar ki
Ho kis kis baat ki tareef Zu-ul-Noorain kay haq man
Haya’e ki, Mustafa ki dosti ki, ya Muqaddar ki
Wo ayek manzar wama remait jahan khuda khud ye keh raha hay
Ye dast dast-e-Nabi nahi hay ye dast-e-qudrat faqat mera hay
Ye ayek Manzar, shajar kay neechay Nabi bai’et kay waqat kehna
Ye dast-e-bai’et Nabi ka hay aur ye dast-e-usman doosra hay
Bachoon ko loriyoon man kahin maan Qureish ki
So jao meray laal ke maan gamgasar hay
Hay tum sy itna piyar, ke Rahman ki qasam
Jitna Qabeelay waloon ko usman say piyar hay
Hujjat kay liye hashar man hogi ye daleel
Har shay ko ata hogi bashar ki Soorat
Allah ki ye shakil kay khursheed-e-Jalal
Allah ka Quran, umar ki Soorat
Deen-e-Haq ki sar bulandi man Nabuwat ki Talab
Bargah-e-Rabbul Izaat man huwa ho jis pe Saad
Saari dunya hay shanshah-e-do aalam ki mureed
Aur umar Khud hain shanshah-e-do Aalam ki Muraad
Saff man jo ghus parhay wo liye Teeg shulah war
Sar kafiroon kay dosh pea aye na phir nazar
Haibat say un ki din man nikaltay na thay aduwe
Ratoon ko khawab man bhi pukarain umar umar
Larhnay man yoon to ayek say ayek bay misaal hay
Phir bhi diloon man khof umar ka ye haal hay
Hain mahir un harb kay baa ham ye mashwaray
Khattab kay pisar say larhaye mahaal hay
Kis nay Nabi ka daman thama sab say pehlay barh kar wo Siddiq-e-Akbar
Kis nay uthaya baar-e-Imamat lay kar izin-e-peyambar wo Siddiq-e-Akbar
Hukum-e-Khuda say chorh chala jab Makkah deen ka Rahbar Naam Khuda ka laikar
Raah-e-Khuda man is dam jo shay nikli naqd peyambar wo Siddiq-e-Akbar
Ik din kis nay khawaab man daikha, jholi man chand Aaye aur phir ghar ghar aye
Deen-e-Muhammad ayesi bisharat lay kar Aya kis par wo Siddiq-e-Akbar
Rooh-e-Ameen darbar-e-Nabi man Taat pehan kar Aaye jhuk kar Haal sunaye
Ahl-e-falak ka pehnawa hay aaj ye kis ki ada par wo Siddiq-e-Akbar
Jin kay daman ki paaki par Rooh-e-Qudus ka Aana Soorat Noor sunana
Ayesi Hurmat waali Umm-e-Ummat jin ki dukhtar wo Siddiq-e-Akbar
Jin ka ah’d-e-Risaalat, barash abr-e-karam ki bay had unka Naam-e-Muhammad
Pathar jin kay dor-e-khilafat man thay laal-o-jawahir wo Siddiq-e-Akbar
Markaz-e-Siddiq-o-Safa markaz-e-imaan Siddiq
Mashaf-e-ishiq-o-Mahabbat kay nigahbaan Siddiq
Isim-e-Azam hain junoon kosh Mahabbat kay laye
Hosh waloon kay liye Naqsh-e-sulaiman Siddiq
Kamand-e-aqal man aye karay khird Tahqeeq
Nigah man jo smaye nazar karay toseeq
Hay jibreel ki parwaaz say paray jo maqaam
Hain is maqaam ki tasdeeq kay liye Sidddiq
Pabosi gulaab say mitti hay mushk-e-tar
Paars ki ayek lamha rafaaqat hay qadr zar
Pahloo ho Mustafa ka muyyasr jisay adeeb
Kia kehaye kia hay apnay maraatib man wo bashar
Kaatib taqdeer ka junbash man jab Aaya qalam
Manziloon say ma wara puhunchay faqeeroon kay qadam
Masjid-e-Nabvi man ik din jaan Nisaar-e-Mustafa
Thay Musallay par Imaam aur muqtadi shah-e-umam
Hain parstaaar-e-Muhammad bay hisaab-o-bay shumaar
Zee waqar-o-sar buland-o-sarfurosh jaan Nisaar
Han magar tasdeeq kay hain martabay kuch is tarah
Yaar-e-hijrat, yaar, gazwah, yaar-e-bazam-o-yaar-e-gaar
Tashna ka maan-e-Haqeeqat ko hain kausar Siddiq
Karwaan-e-rah-e-ulfat ko hain Rahbar Siddiq
Khatam hoga na kabhi silslah ishq adeeb
Ish’q kay Rabb hain, Mahabbat kay peyamber Siddiq
Mahki hui hawa ka mujhay lams jab mila
Meray tasawwurat ka dr misil gul khila
Afkaar kay dareechoon say aanay lagi sada
Kia khoob Haq nay tujh ko ye moqa ata kia
Uth, madah kahwan sayad-e-aali maqam ho
Chal aye gunaah gar zara naik Naam ho
Alfaaz dast basta meray saamnay hain sab
Jancha hay man ne khoob har ik lafz ka nasab
Thara raha hay phir bhi qalam, kia likhoon laqab
Man paish Aftaab misaal charag shab
Kesay bayan ho martaba aali waqar ka
Laon kahan say dhang man parwardigar ka
Lab wa karoon sana-e-kay liye kin kay baab man
Jibreel dast basta hain jin ki janab man
Madaah khud Quran hay risaalat maab man
Meray khiyal ki tag-o-do kis hisaab man
Manzoor shayeri hay na husun-o-kalaam
Aye khama khiyal, adab ka maqam
Sair khiyal-o-fikr ko bastan hain buhut
Tafreeh taba’e Naaz kay samaan hain buhut
Tahreer husun-o-ish’q kay unwan hain buhut
She’r-o-sukhun kay wastay maidan hain buhut
Jin kay qadam say raunaq bazam Hayaat
Tareef is Nabi ki taqaza-e-Zaat
Ye masala-e-takhayyul-o-jazbaat ka nahi
Waqif man gird-o-paish kay Halaat ka nahi
Aur il’m ye ke il’m bhi har baat ka nahi
Irfan mujh ko apni hi khud Zaat ka nahi
Phir mujh say poochna ke Muhammad ki shaan
Goongay ke mun man ho bhi agar to zaban
Qand-o-shahid nabaat ko yak ja karain agar
Gul ki har ayek Zaat ko yak ja karain agar
rangeeni Hayaat ko yak ja karain agar
kul husun-e-kainaat ko yak ja karain agar
jitna bhi rang-o-Noor liye kainaat hay
ye sab tabasum shah-e-deen ki zakaat hay
kehtay hain jis ko madhat sultaan Zul manan
musnad nasheen hay nok-e-zuban par wo gulbadan
sar ta bapa hay nikhat-o-ruanaye chaman
is Noor kay badan pe hay khushboo ka pairhan
khushboo say aur Noor say jis ka khameer hay
zulfoon ki jis kay shaan mashiyat aseer hay
tamheed say guzeer ki jaanib qadam qadam
parhtay huway Durood Muhammad mera qalam
lay kar sarwar ish’q man dooba huwa il’m
ho kar niaz mand’ kia is nay sar ko kham
kham ho kay khat meem banata chala giya
parday rumooz-e-Haq kay uthata chala gaya
wo meem jo Kaman hay ik aagosh ki tarah
mahshar man ayek saya gul posh ki tarah
bandoon pe rab ki rahmat pur josh ki tarah
kham is ka faraq aashiq may nosh ki tarah
jo darmayan Kaman kay aaya amaan man hay
baahar jo rah gaya wo shumaar ziyaan man hay
khulnay lagay rumooz’ muhabbat kay sar basar
honay laga khiyaal pe ilhaam ka asar
ifkaar khushbowon man shara bor tar ba tar
junbash jo lab ko di to tapaknay lagay ghar
is par bhi un ki shaan kay shayaan na likh saka
banda hoon is liye koi Quraan na likh saka
yoon kar rahay hain madhat sarkaar Zulmanan
kausar say dho kay layen hain ta’reef ka matan
phirtay rahay bahaar man lay kar chaman chaman
pehna dia zuban ko anbar ka pairhan
surma hay koh-e-toor ka’ gazah gulaab ka
Agaaz-e-Naat yoon hay Risaalat Maab ka
Pehlay Nabi kay ish’q ki dolat khuda say li
Dolat miley to fik’r ki juraat khuda say li
Juraat mili to husun-e-aqeedat khuda say li
Tarz-e-bayan kay wastay nudrat khuda say li
Juraat mili khiyal mila aur qalam mila
Ye sab milay to Naat pe iz’n-e-raqam mila
Torhi hay man nay maikdah ish’q ki quyood
Meray junoon gam ki tayyun nahi hudood
Hota hay har naf’s mera mannat kash Durood
Pehlay Durood phir sukhun Naat ka wurood
Man bhajta hoon nazar Salaat-o-Salaam ki
Wo bhaijtay hain mujh ko ijaazat kalaam ki
Tabaan usi kay Noor say hay chehra Hayaat
Sadyoon kay jis nay Aakay mitaye to hamaat
Ayek jist jis ki nuskha taskheer kainaat
Jis kay qadam ka naqsh bana il’m madniat
Kehnay ko wo bashar hay agar qeel-o-qaal man
Apni misaal bhi nahi rakhta misaal man
Ye Mahtaab Aap ka chehra nahi nahi
Ye Aftab Aap ka jalwah nahi nahi
Ye boo-e-mushk zul’f ka hissah nahi nahi
Is auj tak na jaye gi pasti shauoor ki
Baala hay har khiyaal say hasti Huzoor ki
Jalti na is jahan man jo shama’e-e-Muhammadi
Dunya ko hashar tak nazar aati na roshni
Hakim ho ya Gulam, gunah gar-o-Mutaqi
Milta na admi ko shuoor khud Aagahi!
Hoti na kuch tameez safaid-o-siyaah
Jalwoon ka aitbar na hota nigah
Jis roz lab kusha kisi ki nahi majal
Daikhain gay Asman-o-zameen Roo-e-zuljala
Hoga maqam deed Rasool-o-Nabi ka haal
Daikhin gay ayek ayek ko miskeen ki misaal
Dhoondain gay anbiya isi Rahmat naveed ko
Tarhpay gi har nigaah Muhammad ki deed ko
Hay kon day sakay ga jo us din koi hisaab
Tobah bhi yaad Aaye to’ tobah ka band baab
Bhai ko bhai day ga na faryaad ka jawaab
Shulay zameen pe hoon gay to naizay pe aftab
Ummat ho, ya Nabi ho, gazab ki nigaah man
Mahshar man hoon gay saaray unhein ki panaah man
Nazaan ho garcha hoon man gunahgar daikhna
Us kamli posh ka hoon parstar daikhna
Anwaar Zik’r sayed-e-abraar daikhna
Mujh say gada kay lab hain ghar baar daikhna
Har dam hay lab pe tazkirah bay nazeer bhi
Raazi Rasool-e-Paak bhi Rabb-e-Qadeer bhi
Naat-e-Rasool-e-Paak man wo aaab-o-taab ho
Ayek ayek lafz madah ka izzat Maab ho
Roshan meray Kalaam ka yoon Aftaab ho
Maqbool bargah-e-Risaaalat Maab ho
Mahshar jab bulaen to is tarah dain Sada
Hazir kar-o-kahan hay Sana khawan Mustafa
Har Aayena dil ki jila zik’r-e-Muhammad
Allah ki bandoon ko Ataa’e Zik’r-e-Muhammad
Makhlooq say khaliq ki raza Zik’r-e-Muhammad
Lazim isi maqsad say ho Zik’r-e-Muhammad
Har aarzoo-e-nutuq ka anjaam yehi hay
Dunya kay liy aman ka paigaam yehi hay
Ho baz’m-e-sukhundan to ye pholoon ka bayan hay
Mojoon ka tarannum hay ye bulbul ki zuban hay
Alfaaz ki az’mat hay khitaabat ki ye shaan hay
Is zik’r say bandoon ko gunaahoon say amaan hay
Jazbaat ko seemaab takhyyul ki jila hay
Ye khaas sharf zik’r-e-Muhammad ko mila hay
Qaim hay muslman ka emaan isi say
Allah kay Talib ko hay irfan isi say
Har aashiq-e-Sadiq ki hay pechan isi say
Insaan ko hay azmat-e-Insaan isi say
Sarmaya emaan-o-Qaraar-e-dil-o-jaan hay
Quraan ki tilawat hay ye Ka’bah ki azaan hay
Naat-e-shah-e-Konain ki sarw-o-samni daikh
Lafzoon ki Qaba man ye ajab gulbadni daikh
Chehrah ki damak Toor kay jalwoon say bani daikh
Zulfoon ki mahak Naafa-e-mushk-e-khatni daikh
Nisbat agar alfaaz ko doon Qaus-e-qazah say
Sairaab hoon shayad may mana ki qadah say
Aye Taha-o-Muzammil-o-yaseen-o-Mudassir
Aye Sayyad-o-Sardaar-e-umam Tayyib-o-Tahir
Kia keh kay pukaaray meray Aqa ko ye shayer
Tasweer-e-khudawand kay shahkaar Musawwar
Kham garden-e-Tafseer hay sharmandah Saraahat
Ya Rabb! Meray Alfaaz ko day nahaj-e-balagat
Aye Sall-e-Ala Noor shah-e-Jinn-o-bashar Noor
Lab Noor dahan Noor sukhun Noor Nazar Noor
Sar Noor Qadam Noor shikam Noor kamar Noor
Jis ghar man tera zik’r karain log, wo ghar Noor
Aan Zeenat-e-Konain-o-zaiba-e-jahan As’t
Aan bayes-e-Hairaani Aayenah giran As’t
Ham ko bhi khabar hay ke gunahoon ki saza hay
Lakin wo khata posh hamara bhi Khuda hay
Zahid ko agar Naaz-e-Ibaadat hay baja hay
Pallah man hamaray bhi Muhammad ki Sana’e hay
Mahshar man jo niklay ga yehi Naam dahan say
Jhuk jaye ga pallah mera neki kay wazan say
Wo maah-e-arab, maah-e-mubeen, maah-e-liqa hay?
Tasweer hay, Tanweer hay, Tabeer hay , kia hay ?
Ik Noor ka paikar hay ke pardah man Khuda hay
Aafaq man ayesa na to hoga na huwa hay
Aashiq ki sada ye hay meray dil man nahan hay
Jibreel sar-e-ar’sh pukaaray wo yahan hay
Ye junbash-e-lab, Taab-e-sukhun, aur ye guftaar
Ifkaar ki yorash hay to alfaaz ki yalgar
Ho jaye agar waq’f-e-sana-e-shah-e-abraar
Hota hay wo Hassan ki manand ghar baar
Rahta hay isi duhan man wo shab ho ke sahar ho
Jis par meray Sarkaar ki ik baar nazar ho
Nigah ho ke sama’et zaban ho ke qalam
Chalay hain qaflah madah man qadam baqadam
Kabhi zaban ka da’ewa ke ham hain bar tar ham
Kabhi qalam ki ye gairat ke ham say sab hain kam
Ye ma’erkah bhi to wajah-e-husool-e-sabqat hay
Husool sabqat madhat bhi husun-e-madhat hay
Qalam nay khainch diay naqash wok e sab hairaan
Zaban nay dil say nikalay khitaab kay arman
Suna raha hoon usi ma’erkah ki baat yahan
Ke jis kay nuqtay sitaray to lafz kaah kashan
Sama’etoon ko jo lay jaye hauz-e-kausar tak
Suroor jis ka rahay dil man roz-e-mahshar tak
Chala hay aaj qalam saya-e-karam lay kar
Gadaaz dil ka, tarhap aur chashm-e-nam lay kar
Shauoor-o-fik’r ka hathoon man jaam-e-jam lay kar
Khayaal-e-Sarwar-e-konain Muhtram lay kar
Rawan buraaq ki maanand lay kar
Firshtay Aaye hain aflaak say gawahi man
Zuban khuli kay phiraira khula hay Rahmat ka
Har ayek simat huwa ghul Azaan-e-ulfat ka
Nimaz ishq ka aur sajdah mahabbat ka
Sarwar-e-jaan hay jo sab ka isi ki madhat ka
Sama’etoon ka ye aalam ke gaush’ bar awaz
Meray Rasool ki madhat ka yoon huwa Agaz
Jhuka ke rabb do aalam kay paish apni jabeen
Kaha qalam nay ke khallaq-e-Asman-o-Zameen
Raqam ho teray Nabi ka bayan itna haseen
Ke harf harf sitarah to nuqtah nuqtah nageen
Zameen pe shor to halchal ho aasmanoon man
Firshtay choom kay bandhain usay amamoon man
Barhay adab say zuban ne ye ar’z ki ya rabb
Ada ho mujh say bhi apnay bayan ka mansab
Meri sada ho rawan jesay Noor ka murkab
Falak pe aaye nazar jesay raat man kaukab
Ke hay Nabi Samee’a-o-Baseer ki tauseef
Khabar jo Gaib ki day us khabeer ki tauseef
Kaha qalam nay ke tahreer meri lasaani
Khiyaal lafzoon man ayesa ke yoosaf-e-Sani
Tamaam harf guman ye ke, la’el ramaani
Har ik sitar meri kahkshan ki peeshani
Meri siyahi gunahoon ko dhonay waali hay
Sayee zaroor hoon lakin sifat bilali hay
Zuban ye boli ke man aaj hoon turb-e-manoos
Hay shauq raqs man meray bayan ka taous
Haseen khiyaloon say roshan hain ja baja fanoos
Ye zik’r-e-Tayyib-o-Tahir ke hay meri Namoos
Sunay jo khar bayaban to rang-o-boo man dhalay
Teray Habeeb ka wo zik’r ho ke too bhi sunay
Kaha qalam nay ke man har bayan ka malboos
Meri khamoshi hay ulfat ka naala-e-naqoos
Sana-e-sarwar-e-konain ka hoon man fanoos
Ye khad-o-khaal hain meray hi loh par manqoosh
Safaid par man siyahi ka daag hota hoon
Par aashiqoon kay diloon ka charaag hota hoon
Kaha zuban nay ke ra’naaye man nay ki hay kasheed
Meri nawa say hi boo-e-khitaab ki hay shumeed
Kahin sarwar-e-balagat, kahin faseeh nasheed
Khulain na par meray, parwaz kia karay gi shuneed
Har ik zaman man fazayen yateem, meray begair
Kalaam kis ko sunayen kaleem meray begair
Suna jo roz-e-bayan-e-madeeh-e-shah-e-umam
Jhuka adab say hamaishah ki tarah faraq qalam
Raqam taraaz huwa, aye khuda! Teri hay qasam
Azal say was’f-e-nigaar-e-Huzoor hoon paiham
Gunaah gar nahi doob kar siyahi man
Har aik naat hay meri isi gawahi man
Man khainch lawon ga fan ka har ik satar man kamala
Hisaar-e-khat man haseenan-e-rang-o-boo ka Jamaal
Likhoon ga jab man sulaiman Naat ka ahwaal
Hamain bhi izin do, balqees-e-fan karay gi sawal
Nabi ka faiz hay, faiz-o-kamaal par hay girift
Rah-e-farraaz na doon ga, khiyaal par hay girift
Azal say ta be abad loh par noshta man
Kahin pe haal hoon aur hoon kahin guzushta man
Hoon dast-e-kaatib-e-taqdeer man nishastah man
Sanaa’e kay was’f say ham rutba firshtah man
Man apnay rang man rang-e-gilaaf-e-kaabah hoon
Rukh-e-bilal-o-galeem-e-rasool-e-batha hoon
Ye ma’rkah jo suna, gaib say sada Aaye
Har ik chaman man unhain ki hay jalwah farmaye
Faqat qalam hi nahi un ka ayek shaidaye
Faqat zuban ko hi hasil nahi hay yaktaye
Shajar hajar hoon mah-o-mihir hoon zuban-o-huroof
Wujood jin ko mila sab sanaa man hain masroof
Zuban ko nutuq diya kul ki aabroo kay liye
Meray Habeeb ko aana tha guftugoo kay liye
Qalam bana usi tahreer-e-mushak-e-boo kay liye
Har ik zamana man islaam ki numoo kay liye
Rasa ho Adam khaki ke dil man tum donoon
Meray Habeeb ki jo yaad man ho gum donoon
Aankh man jab ashk Aaya ho gaye Naat-e-Rasool
Dard jab dil man samaya ho gaye Naat-e-rsool
Jab kisi bay bas ko daikha Zulum ka hotay shikaar
Is Zalim say churhaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jihil ki tareekiyoon man iatmad ilam ka
Ik dia jis nay jalaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jab kisi Masooom ko paya yateemi ka shikaar
Apnay seenay say lagaya’ ho gaye Naat-e-Rasool
Imtiaz-e-bandah-o-Aaqa mitanay kay liye
Jab koi maidaan man aaya ho gaye Naat-e-Rasool
Kha kay sang dushmanan-e-deen agar ye keh dia
Kar bhala is ka khudaya, ho gaye Naat-e-Rasool
Yaad kar kay arsa-e-sha’ab-e-Abi Talib kabhi
Jis nay do Aansoo bahaya ho gaye Naat-e-Rasool
Mohsin-e-insaniat ki jaan kar, sunnat agar
Jis ne rotoon ko hansaya, ho gaye Naat-e-Rasool
Kia bataon kis qadar hain mehrban mujh par huzoor
Jab qalam man ne uthaya ho gaye Naat-e-Rasool
Seerat-e- خیر البشر ko daikhta ja aye adeeb!
Jo warq nay to uthaya ho gaye Naat-e-Rasool
Jalal-e-Aayat-e-Quran ko jo sahaar sakay
Nabi kay dil ky siwa doosra maqam nahi
Wo lazzat-e-Gam-e-ish’q-e-Rasool kia janay
Durood jis kay laboon par nahi salaam nahi
Wo dushmanoon ka hadaf wo Qureish ka mazloom
Magar kisi say liya koi intiqaam? Nahi
Khiyal us kay taqqub man thak kay baith gaya
Safar buraaq pe us ka magar tamam nahi
Tamam umar na paye, milay to lamhoon man
Mataa’e-e-ish’q-e-Muhammad mazaaq-e-aam nahi