Ish’q ky charaag jal gay
Zulmatoon say ham nikal gay
Un kay naqsh-e-pa pe chal gay
Gar rahay thy jo sanbhal gay
Jis taraf Huzoor chal diay
Khaar phool man badal gay
Roo-e-Mustafa ki ik kiran
Zulmatoon kay bal nikal gay
Daikh kar jamal-e-Mustafa
Sang dil jot hay paghal gay
Un ka zik’r sun kay ranj-o-gam
Apnay rastay badal gay
Hay yaqeen ke dar pe ham
Aaj gar nahi to kal gay
Un kay dar pe jo puhunch gay
Har hisaar say nikal gay
Un pe jab Durood parh liya
Hadsoon kay rukh badal gay
Jahan Roza pak Khair ul Wara Hay wo Jannat nahi to Aur kia hay
Kahan main kahan ye Madeenay ki galian ye Qismat Nahi to phir kia hay
MUHAMMAD ki Azmat ko kia poochtay ho ke wo Sahib-e-Qab kosain Thehray
Bashar ki Sarr-e-A’rsh Mehman Nawazi ye Azmat nahi hay to phir aur kia hay
Jo Aasi ko kamli main apni chupa lay jo dushman ko bhi zakham kha kar dua day
Usay aur kia Naam day ga Zamana wo Rahmat nahi to phir kia hay
Qiymat ka ik din muyyan hay laikin hamaray har nafs he Qiyamat
Madeenay say ham jan nisaroon ki doori Qiyamat nahi hay to phir kia hay .
Tum Iqbal ye N’emat keh to rahay ho magar ye bhi socha k kia kar rahy ho
Kahan tum kahan madah-e-yazdan ye jurrat nahi to phir aur kia hay