Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Laut kar main na jaaun ga khaali
Tumhaare Aastaane se zamaana kiya nahin paata
Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeenah
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeenah
Tum zamaane ke Mukhtaar ho ya Nabi
Bekason ke Madadgaar ho ya Nabi
Sab ki sunte ho apne hon ya gheyr hon
Tum ghareebon ke Gham-Khwaar ho ya Nabi
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeenah
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeenah
Hum heyn ranj-o-museebat ke maare huwe
Sakht mushkil meyn heyn gham se haare huwe
Ya Nabi kuchh Khudaara humein bhiek do
Dar pe aaey heyn jholi pasaare huwe
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeenah
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeenah
Hey mukhaalif zamaana kidhar jaaeyn hum
Haalat-e-bekasi kis ko dikhlaeyn hum
Hum tumhaare bhikaari heyn ya Mustafa
Kis ke aage bhalaa haath phaylaaeyin hum
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeenah
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeenah
Bhar do jholi meri ya Muhammad
Laut kar main na jaaun ga khaali
Kuchh Nawaason ka sadqa ataa ho
Dar pe aaya hoon ban kar sawaali
Haq se paayi wo Shaan-e-Kareemi
Marhaba Dono Aalam ke Waali
Us ki qismat ka chamka sitaara
Jis pe Nazr-e-Karam tum ne daali
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo deen-e-Haq ki bachaa li
Wo Muhammad ka piyara Nawaasa
Jis ne sajde mein gardan kataa li
Jo Ibn-e-Murtazaa ne kiya kaam khoob hey
Qurbaani-e-Husaiyn ka anjaam khoob hey
Qurbaan ho ke Fatima Zahraa ke chein ne
Deen-e-Khuda ki shaan barhaayi Husaiyn ne
Bakhshi hey Jis ne Mazhab-e-Islam ko Hayaat
Jitni Azeem Hazrat-e-Shabbir ki hey Zaat
Maydaan-e-Karbala mein shah-e-Khush khisaal ne
Sajde mein sar kataa ke Muhammad ke Laal ne
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo deen-e-haq ki bachaali
Wo Muhammad ka Piyara nawaasa
Jis ne sajde mein gardan kataali
Hash’r mein un ko dekhenge jis dam
Ummati ye kahen gey khushi se
Aa rahey heyn wo dekho Muhammad
Jin ke kaandhe pe Kamli hey kaali
Mehshar ke roz peysh-e-Khuda hon gey jis ghari
Hogi gunah gaaron mein kis darjaa beykali
Aate huwe Nabi ko jo dekhen ge ummati
ik doosre se sab ye kahen gey khushi khushi
Aa rahey heyn wo dekho Muhammad
Jinke kaandhe pe kamli hey kaali
Sar-e-Mahshar gunahgaaron se pursish jis ghari hogi
Yaqeenan har bashar ko apni bakhshish ki pari hogi
Sabhi ko aas us din Kamli waale se lagi hogi
Ke aise mein Muhammad ki sawaari aa rahi hogi
Pukaarega zamaana us ghari dukh dard ke maaro
Na ghabraaow gunah gaaro na ghabraaow gunah gaaro
Aa rahey heyn wo dekho Muhammad
Jinke kaandhe pe Kamli hey kaali
Aashiq-e-Mustafa ki Azaan mein ALLAH ALLAH kitna asar thaa
Sachaa ye Waaqiya hey Azaan-e-Bilaal ka
Ek din Rasool-e-Paak se logon ne yuon kahaa
Ya Mustafa Azaan ghalat detey heyn Bilaal
Kahiye Huzoor aap ka is mein hey kiya khayaal
Farmaaya Mustafa ne ye sach hey to dekhiye
Waqt-e-Sahar ki aaj azaan aur koi de
Hazrat Bilaal ne jo Azaan-e-Sahar na di
Qudrat Khuda ki dekho na mutlaq sahar huwi
Aaey Nabi ke paas kuchh as’haab-e-baasafaa
Ki arz Mustafa se ay Shah-e-Ambiya
Hey kiya sabab sahar na huwi aaj Mustafa
Jibreel laaey aiyse mein payghaam-e-Kibriyaa
Pehle to Mustafa ko Adab se kiya Salaam
Baad az Salaam unko Khuda ka diya Payaam
Yuon Jibraeel ne kahaa Khair-ul-Anaam se
ALLAH ko hey piyar tumhaare ghulaam se
Farmaa raha hey Aap se ye Rabb-e-Zul Jalaal
Ho gi na subha dengey na jab tak Azaan Bilaal
Aashiq-e-Mustafa ki Azaan mein ALLAH ALLAH kitna asar thaa
Ar’sh waale bhi sunte they jisko
Kiya Azaan thi Azaan-e-Bilaali
Kaash! Purnam bhi aaey Madeene
Jeete ji ho bulaawa kisi din
Haal-e-Gham Mustafa ko sunaaown
Thaam kar unke rauwze ki jaali
Bhar do jholi meri ya Muhammad
Laut kar main na jaaunga khaali

Poet :Purnam

No comments yet