Chaman Tayyibah man sunbul jo sanwaaray gaisoo
Hoor barh kar shikin naaz pe waaray gaisoo
Ki jo baaloon say teray roza ki ja rob kashi
Shab ko shabnam nay tabaruk ko hain dharay gaisoo
Ham saye karoon pe ya Rabb tapash-e-mahshar man
Saaya afgan hoon teray piyaray kay piyaray gaisoo
Charchay hooroon man hain daikho to zara yaal-e-buraaq
Sunbul-e-khuld kay qurbaan utaaray gaisoo
Aakhir-e-Hajj gam-e-ummat man praishaan ho kar
Tairah bakhatoon ki shafaat ko sudhaaray gaisoo
Gaush tak suntay thay faryaad ab aaye ta dosh
Ke banain khana badoshoon ko shaaray gaisoo
Sookhay dhanoon pe hamaaray bhi karam ho jaye
Chaaye Rahmat ki ghata ban kay tumhaaray gaisoo
Kaabah jaan ko pehnaya Gilaaf-e-mushkeen
Urh kar aaye hain jo abaroo pe tumhaaray gaisoo
Silslah paa kay shafaat ka jhatkay parhtay hain
Sajdah-e-shukar kay kartay hain ishaaray gaisoo
Muskhk boo kocha ye kis phool ka jharha un say
Hooriyo anbar-e-saara huay saaray gaisoo
Daikho Quraan man shab-e-Qadar hay ta matla’e fajar
Yeni nazdeek hain aariz kay wo piyaaray gaisoo
Bheeni khushboo say mahak jaati hain galiyaan wallah
Kesay phoolooon man basaye hain tumharay gaisoo
Shaan-e-Rahmat hay ke shaana na juda ho dam bhar
Seenah chakoon pe kuch darja hain piyaray gaisoo
Shaanah hay panja-e-Qudrat teray baaloon kay liye
Kesay haathoon nay shaha teray sanwaray gaisoo
Uhud-e-Paak ki choti say ulajh lay shab bhar
Subuh honay do shab-e-eid nay haaray gaisoo
Mujdah ho qiblah say ghunghoor ghatayen umadain
Abroowoon par wo jhukay jhoom kay baaray gaisoo
Taar-e-sheeraza-e-majmooa-e-konain hain ye
Haal khul jaye jo ik dam hoon kinaray gaisoo
Tail ki boondain tapkati nahi baaloon say Raza
Subuh aariz pe luta tay hain sitaaray gaisoo