Char soo Dunya ka charcha hay tongar shah ka

Char soo Dunya ka charcha hay tongar shah ka
Ar’sh par bhi bol bala hay toongar shah ka

Aaj bhi zindah han qabar paak man bad az Wisal
Kon janay kesa rutba hay toongar shah ka

Kahak urhaye kocha gardey ki khuda ki raah man
Aaj yoon har gam shahrah hay toongar shah ka

Raig darya Aap ne khaye barhey miqdar man
Is Hawalay say bhi charcha hay toongar shah ka

Murdah larhkay par nazar Daali to zindah ho gaya
Ye bhi ik adna karshma hay toongar shah ka

Har gharhi Zikr-o-Tilawat aap farmatay rahay
Noor say mamoor seena hay toongar shah ka

Dam Karin petal par to ho us man sorakh
Dam bhi kia taseer wala hay toongar shah ka

Aaj bhi yameen han jood-o-sakha ki barashain
Mujzan ab bhi to darya hay toongar shah ka


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46