Chor fikr dunya

Chorh fikr dunya ki chal Madeenay caltay han
Mustafa Gulamoon ki Qismatain badaltay han
Naqsh kar lay seenay par Naam-e-Sarwar deen ka
Ye wo Naam hay jis say sab azaab Taltay han
Sirf saari dunya main wo hay kuch aye AHMAD
Jis jaga ye ham jesay khotay sikkay chaltay han
Aamina kay palay ka kaali Zulfoon waalay ka
Jashan ham manatay han jalnay walay jaltay han
Ham ko roz milta hay Sadqa madeenay walay ka
Mustafa kay Tukrhoon pe Khush Naseeb paltay han
Rahmatoon ki chadar sar pe saye chaltay han
Mustafa kay deewanay ghar say jab nikaltay han
Zikar shah-e-batha ko wird ab bana lijiye
Wo zikar jis say Gam khushi man Dhaltay han


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46