Faasluon ko takalluf hey hum se agar, hum bhi bay-bus nahi, bay-sahara nahi
Khud Inhi ko pukarenge hum door se, raaste me agar paown thak jaeyn ge
Jayse hi Sab’z Gumbad nazar aeyga, bandagi ka qareenah badal jaey ga
Sar jhukane ki fursat milegi kise, khud hi aankhaun se sajdey se tapak jaengey
Hum Madeenah meyn tanha nikal jaenge, aur galiyauon meyn qasdan bhatak jaeyn ge
Hum wahaan jakay wapas nahi aeyn ge, dhoondte dhoondte log thak jaeynge
Naam In ka jahaan bhi liya jaeyga, Zikr Inka jahaan bhi kiya jaeyga
Noor hi Noor seenaun meyn bhar jaeyga, Sari Mehfil me Jalwe lapak jaeynge
Ai Madeena ke zayer Khuda ke liye, daastaney safar mujh ko yuon mat suna
Dil tarhap jaeyga, baat barh jaeygi, mere muh’taat aansoon chalak jaeynge
In ki Chashm-e-Karam ko hey, iss ki khabar, kis musafir ko hey kitna shauq-e-safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili, hum bhi AAQA ke Darbaar tak jaeng