Fasloon ko Khudara mita do rukh say parda ab apnay hata do
Apna jalwa usi man dikhado jaliyoon pe nigahain jami han
Gauth-ul-Azam ho, Gauth-ul-Wara ho , Noor ho Noor-e-Salle Ala ho
Kia bayan aap ka martaba ho dastageer aur mushkil kusha ho
Aaj deedar apna karado jaliyoon pe nigahain jami han
Har wali Aap kay zair pa hay, har ada Mustafa ki ada hay
Aap nay Deen Zindah kia hay Doobtoon ko sahara dia hay
Meri kashti kinaray laga do jaliyoon pe nigahain jame han
Shiddat-e-Gam say gahbraya hoon, ab to jeenay say tang Aa gaya hoon
Har taraf Aap ko dhoondhta hoon aur ik ik say ye poochta hoon
Koi paigam ho to suna do jaliyoon pe nigahain jami han
Wajad man aye ga sara Aalam jab pukarain gay ya gauth-e-Azam
Wo nikal ayengay jaliyoon say aur qadmoon pe gir jayen gay ham
Phir kahain gay ke bigrhi bana do jaliyoon pe Nigahain jami han
Sun rahay han wo faryad meri khak hogi na barbad meri
Man kahin bhi maroon shah-e-jeelan rooh puhuchay gi Baghdad meri
Mujh ko parwaz kay laga do jaliyoon pe nigahain jami han
Fikr daikho kiyalat daikho ye aqeedat ye jazbat daikho
Man hoon kia meri oqat daikho samane kis ki hay zaat
Aye Adeeb apne sar ko jhuka do jaliyoon pe nigahain jame han