Ghawth-e-A’azam ka Darbar

Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Baghdadi noorey baazar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Tum ho hamarey
Hum heyn tumharey
Tum ho Nabi ke piyaarey
Har mushkil me Ghawth-e-A’azam
Tutey dilon ke saharey
Ujrhoon ko kar de gulzaar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Qutob, Awliyaa, Ghawth-o-Qalandar
Ek se ek hey barhkar
Saare Awliyaa den ge Salaami
Jaeyn ge Ghawth ke Dar par
Wo heyn Waliyon ke Sardaar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Chor ko pal meyn wali banaya
Nazar se bigrhi banaiy
Duobi kashti bara baras ki
Pal meyn paar lagaIy
Burhiya kehti thi har bar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Aise Ghawth ka hey ye hafiz
Chuote na haath se daman
Bigrhe kaam banaey Aaqa
Qurban un pe tan man
Wo karte heyn berha par
ALLAH ALLAH kiya kehna
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna
Baghdadi noorey bazaar
ALLAH ALLAH kiya keh na
Ghawth-e-A’azam ka Darbar
ALLAH ALLAH kiya kehna


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46