Hamaray dil say Zamane kay Gam Mita ya Rabb
Ho methay methay madeenay ka Gam Ata ya Rabb
Gam-e-Hayat abhi Rahatoon man dhal jayen
Teri ata ka ishara jo ho giya Ya Rabb
Paye Hussain-o-hassan Fatima Ali Hayder
Hamaray bigrhay hoi kaam day bana Ya Rabb
Hamari bigrhi hui aadatain nikal jayen
Milay gunahoon kay amradh say shifa Ya Rabb
Mujhay day Khud ko bhi aur saari dunya waloon ko
Sudharne ki Tarhp aur Hosla Ya Rabb
Hamaishah haath bhalye kay wastay uthain
Bachana zulum-o-Sitam say mujhay sada ya Rabb
Rahain bhalaye ki Rahoon man gamzan har dam
Karain na Rukh meray paoun gunah ka Ya Rabb
Gunahgar Talabgar-e-Afw-o-Rahmat hay
Azab sahnay ka kis man hay Hosla Ya Rabb
Ata ho Naiki ki dawat ka khoob jazba ke
Doon dhoom Sunnat-e-Mahboob ke macha Ya Rabb
Ata ho ham sab ko Qabool-e-Aam
Hamain Shuroor-o-Fitan say sada bacha Ya Rabb
Man Pul Siraat bila khof par kar loon ga
Teray karam ka sahara jo mil giya ya Rabb
Kahin ka Aah! Gunahoon nay ab nahi chorha
Azaab-e-Naar say Attar ko bacha Ya Rabb