Haqiiqat me.n ho sajda jubba-saa.ii kaa bahaana ho

haqiiqat me.n ho sajda jubba-saa.ii kaa bahaana ho
ilaahii meraa sar ho aur un kaa aastaana ho

tamannaa hai ki merii ruuh jab tan se ravaana ho
dam aa.nkho.n me.n ho aur pesh-e-nazar vo aastaana ho

zabaa.n jab tak hai aur jab tak zabaa.n me.n taab-e-goyaa.ii
tirii baate.n ho.n teraa zikr ho teraa fasaana ho

mirii aa.nkhe.n nahii.n aa.iina-e-husn ruu-e-saabir kaa
dil-e-sad-chaak un kii ambarii.n zulfo.n kaa shaana ho

balaa us kii Dare phir garmii-e-KHurshed mahshar se
tire lutf-o-karam kaa jis ke sar par shaamiyaana ho

unhe.n to mashq-e-tiir-e-naazukii dhun hai vo kyaa jaane.n
kisii kii jaan jaa.e yaa kisii dil kaa nishaana ho

na puuchh us ‘andaliib-e-soKHta-saamaa.n kii haalat ko
qafas ke saamne barbaad jis kaa aashiyaana ho

sar-e-‘bedam’ azal ke din se hai vaqf jabii.n-saa.ii
kisii kaa naqsh-e-paa ho aur ko.ii aastaana ho


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46