Har khata to dar guzar kar baikas-o-Majboor ki
Ya ilahi ! Magfirat kar baikas-o-Majboor ki
Ya Ilahi! Kar day poori az paye Gauth-o-Raza
Aarzoo-e-Deed sarwar baikas-o-Majboor ki
Zindgi aur Moat ki hay Ya Ilahi kshmakash
Jaan chalay Teri Raza par Baikas-o-Majboor ki
Aala Ilyeen man ya Rabb! Usay daina jaga
Rooh Chalday jab nikal kar baikas-o-Majboor ki
Ya khuda Poori Tamanna ho baqee’a Pak ki
Az panay Hussain-o-Heyder baikas-o-Majboor ki
Wasta Noor-e-Muhammad ka Tujhay piyaray Khuda !
Gaur-e-Tairah kar Munawwar baikas-o-Majboor ki
Aap kay Methay Madeenay man paye Gauth-o-Raza
Hazri Ho Ya Nabi! Har baikas-o-Majboor ki
Amina kay lal! Sadqa Fatima Lal ka
Door Sari Aaftain kar baikas-o-Majboor ki
Naf’s-o-Shaitan Galib Aye lo khabar ab jald tar
Ya Rasool Allah ! Aa kar baikas-o-Majboor ki
Jis kisi ne bhi Dua kay wastay Ya Rabb! Kaha
Kar day Poore Aarzoo har baikas-o-Majboor ki
Bahar shah-e-karbala ho door Aaqa har bala
Aye Habeeb Rabb-e-Dawar! Baikas-o-Majboor ki
Aap Khud Tashreef Laye Apnay Baikas ki Taraf
Aah jab nikle Tarhap kar baikas-o-Majboor ki
Aye Madeenay kay musafir! To kahani dard ki
Un say kehna Khoob Ro kar baikas-o-Majboor ki
Haal Bigrha! Rooh Tarhpi jab Madeenah chut gaya
Jaan thi Ghamgin-o-Muj’tar baikas-o-Majboor ki
Aap kay Qadmoon man Gir kar Maot ki Ya Mustafa ﷺ
Aarzoo Kab Aayegi bar? Baikas-o-Majboor ki
Nama-e-Attar man Husun-e-Amal koi Nahi
Laaj rakhna roz-e-Mahshar baikas-o-Majboor ki