Ho gay han door

Ho gay han door sab ranj-o-alam
Jab huwa sarkar ka mujh par karam
Hay yaqeen Darbar man apnay mujhay
Eik din bulwain gay Shah-e-umam
Hay jisay nisbat meray sarkar say
Paas us kay kion bhala Aayengay Gam
Bas yehi hay iltaja Mahshar kay din
Aap rakh laina Gulamoon ka bharam
Jal uthain gay Aarzoon kay diyay
Jab Dar-e-Sarkar pe jayengay ham
Aarzoo ab hay yehi meri muyyan
Un kay rozay pe nikal jay ye dam


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46