Ish’q-e-shah-e-konain man dil daag jigar daag
Gulzar-e-Mahabbat ki hay shakhoon pe samar daag
Likhta hoon shab-e-hajar man jab naat nabi ki
Tahreer kay nuqtay mujhay aatay hain nazar daag
Korhi kay koi mol na lay la’l-e-badkhshan
Jo hij’r-e-Madeenah kay dikhaon man agar daag
Daikha jo nazar bhar kay soo-e-gumbad-e-khazra
Ba’ad us kay nazar aaye mujhay shams-o-qamar daag
Ik man hi nahi hijir man, aflaak ka aalam
Daikho to nazar aayen gay ta had-e-Nazar daag
Is jasad man kuch qalb-o-nazar par nahi moqoof
Aqa ki inayat say hay sab ghar ka ye ghar daag
Har daag ko hay Noor-e-Ala Noor ki nisbat
Almas koi daag’ koi mis’l-e-ghar daag
Khursheed-e-Mahabbat ki tamazat say pigal kar
Ban jata hay ushaaq kay seenoon man jigar daag
Bakhash ka sahara hay shafa’at ki sanad hay
Kehnay kaliye lafz-o-bayan man hay agar daag
Jis daag ko ish’q-e-shah-e-wala say hay nisbat
Zulmat kay har aalam man hay wo nor-e-daag
Dhotay han gunahon ki siyahi kay ye dhabay
Ulfat man dikhatay han kabhi ye bhi hunur daag
Rakhta tha adeeb apni jabeen dar pe jhukaye
Dhota tha gunahoon kay wahan sham-o-sahar daag