Jo Tasawwar man nahi jis ki nahi koi khabar
Us ki tasweer banaoun man qalam say kionkar
Wo khiyaloon man utar jaye to wasi’e kesa
Chand lafzoon man sama jaye to jam’e kesa
Jis kay ik Naam ko so Naam say t’abeer karain
Jis kay ik harf ko so dhang say tahreer karain
Wo jo Subhan bhi, Rahman bhi, burhan bhi hay
Jo dayyan bhi, Hannan bhi, Mannan bhi hay
Ar’sh wala bhi wohi, Rabbiyal a’ala bhi wohi
Zor Aawar bhi wohi, bakhshanay wala bhi wohi
Us ki t’areef Muhammad kay siwa kaun karay