Jobanoon par hay bahar-e-chaman Aaraye dost
Khuld ka naam no lay bulbul shaidaye dost
Thak kay baithay to dar-e-dil pe tamannaye dost
Kun say ghar ka ujaala nahi zaibaye dost
Arsa-e-Hashar kuja muwaqqaf-e-Mahmood kuja
Saaz hangamoon say rakhti nahi yaktaye dost
Mahar kis munh say jalw-e-daari janaan karta
Saaya kay Naam say baizaar hay yaktaye dost
Marne waloon ko yahaan milti hay umar-e-javed
Zindah chorhay gi kisi ko na maseehaye dost
Un ko yakta kia aur khalq banaye yeni
Anjman kar kay tamasha karain tanhaye dost
Ka’aba-o-ar’sh man kuhraam hay nakaami ka
Aah kis bazam man hay jalwa-e-yaktaaye dost
Husun bay pardah kay parday nay mita rakha hay
Dhoondhne jayen kahan jalwa-e-har jaye dost
Shauq r okay na rukay paoun uthaye na uthay
Kesi mushkil man hain Allah Tamannaye dost
Sharam say jhukti hay mehraab ke sajid hain Huzoor
Sajdah karwati hay ka’aba say jabeen saye dost
Taaj waloon ka yahan khaak pe maatha daikha
Saye daraoun ki dara hui daraye dost
Toor par koi charkh pe ye arsh say paar
Saaray balaoun pe baala rahi baalye dost
Ant feehim nay aduw-o-ko bhi liya daaman man
Ayesh javed Mubark tujhay shaidaye dost
Ranj aada ka Raza charah hi kia hay jab unehain
Aap gustaakh rakhay hil’m-o-shakeebaye dost