Khayr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Darood aur Lakhoon Salaam
Jinn-o-Malayek Tere Ghulaam
Sab se siwa hey Tera Maqaam
Yaseen-O-Taha Tere hi Naam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Darood aur Lakhoon Salaam
A’ala se A’ala Tera Maqaam
Sab Ambiyaa ka Tu hey IMAAM
Kul Auliya heyn Tere Ghulaam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Darood aur Lakhoon Salaam
Ar’sh-e-bareen tak Char’cha Tera
Shams-o-Qamar hey Sadaqah Tera
Ye Mah-e-kamil Hus’n-e-Tamam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Darood aur Lakhoon Salaam
Sab ko mayassar ho ye maqaam
Puhuncheyn Madeeney bankar Ghulam
Parhte Durood aur Parhte Salam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Durood aur Lakhoon Salaam
It’na Karam to Far’maiye
Rauwze pe sab ko bul’waiye
Haazir yahaan heyn jit’ne ghulaam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Durood aur Lakhoon Salaam
Teri Sana’a hey mera Naseeb
Qurbaan Tujh par Jaayen Adeeb
Tujh par Tassaduq Aalam tamaam
Kheyr-ul-Bashar par Lakhoon Salaam
Lakhoon Durood aur Lakhon Salaam