Khird say keh do ke sar jhuka lay guman say guzray

Khird say keh do ke sar jhuka lay guman say guzray guzranay walay
Parhay hain yan khud jihat ko la lay kisay bataye kidhar gay thay?
Saraag-e-Aian-o-Mata kahan tha Nishan kaif-o-ila kahan tha?
Na koi rahi na koi saathi na sang-e-manzil na marhalay thay!?
Udhar say paiham taqazay Aana idhar tha mushkil qadam barhana
Jalal-o-haibat ka Saamna tha Jamal-o-Rahmat ubhartay thay
Barhay to laikin jhujhktay dartay, Haya say jhuktay adab say ruktay
Jo Qurb unehain ki Rawish pe rakhtay to lakhoon manzil kay faslay thay
Par in ka barhana to naam ko tha Haqeeqatan fi’l tha udhar ka
Tanazloon man taraqi afzaa dana Tadalla kay silslay thay
Huwa ye aakhir ke aek bajra tamwwaj-e-bahar-e-hoo man ubhra
Dana ki god man un ko lay kar fana kay langar utha diye thay
Qaseeda-e-me’raaj/9


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46