Khuda ki Zaat ko Zaiba hay shaan-e-yaktaye
Usi nay juraat-e-Iz’har mujh ko farmaye
Usay kay lutuf say shayer bana’ Adeeb huwa
Thana Huzoor ki likhay wok hush Naseeb huwa
Ye us ki shhan ke us kay Huzoori man ho kar
Ye day raha hay Sada Qalb-e-muztarib, ro kar
Kareem hay to mujhay Nudrat-e-bayan daiday
Dahan man Hafiz-e-sheeraz ki zaban daiday
Wo Nutuq day ke har ik Rang say juda karday
Karam say mathnavi Room ki Ada kar day
Bana day khuwaab ki Iqbal kay, mujhay ta’beer
Ho paye fikir man mazboot, ish’q ki zanjeer
Teray karam say Nazar aaye husun har khami
Ho meri tarz-e-nigarash, ibarat-e-jaami