Kia khoob hay teri Aan baan har roz Naye hay shan shan
Hay rishta na koi khandan to Rabb-e-jahan man Abad Abad
Man Hamd kahoon bas Hamd Hamd man Hamd kahoon bas Hamd Hamd
Meray Mola meray Mola
Tujh say Faryad kartay han ham
Meray Mola karam ho karam
Meray mola meray mola
Ye Zameen aur ye Asman
Hay to hi Maalik-e-do jahan
Sab pe Too hi Too hay mehrban
Ham teray dar say jayen kahan
Sab ki suntan hay to hi sada
Too hi rakhta hay sab ka bharam
Sab paak han teray Naam Naam
Man Zikir karoon har Gaam Gaam
Kia Aqal ka is man Kaam Kaam
Hay banda tera har fard fard
Man Hamd kahoon bas Hamd Hamd
Ham ke majbooriyoon bay Haal hain
Ham ke ranjooroon bay haal hain
Apnay daman man Aansoo hain bas
Paak kar day hamaray Nafs
Zik’r tera jahan bhi Karain
Eik pal man hoon Aankhain ye Nam
Bay kasoon ko sahara milay
Doobatoon ko kinara milay
Sar say Toofan pal man Talay
Jo tera ik isharah milay
To jo kar day mehribanian
Door ho jaye har eik Gam
Wahdat ka hay jis man raaz raaz
Seenoon man bajay wo saaz saaz
Jo tujh pe karay han Naaz Naaz
Wo Hamd karay hay Hamd Hamd
Man Hamd kahoon bas Hamd Hamd
Bhool bhaithay hain tera kaha
To nay Quran man jo likha
Aaj hain dar badar is Tarah
Koi bikhray. Larhi jis tarah
Eik kar ham ko bahar-e-shaha
Ham ne khud pe kiye han sitam