Kia mehktay hain mehknay waalay 	boo pe chaltay hain bhatknay waalay
Jagmaga uthi meri gor ki khaak 	teray qurbaan chamknay  waalay
Mah-e-bay daag kay sadqay jaaoun 	yoon damktay hain damktay waalay
Ar’sh tak phailey  hay taab-e-aariz  	kia jhalktay hain jhalknay waalay
Gul tayyibah ki sana gaatay hain 		nakhl-e-tooba pe chehknay waalay
Aasiya! Thaam lo daman un ka 	wo nahi haath jhatknay waalay
Abr-e-Rahmat kay salaami rahna 		phailtay hain poday lachkanay waaly
Aray ye jalwah gah-e-janaan hay  	kuch adab  bhi hay phrhknay waalay
Seeno! Un say madad maangay jaaou 	parhay baktay rahain baknay waalay
Shama-e-yaad-e-rukh-e-janaan na bujhay 	khaak ho jayen bharhknay waalay
Mot kehti hay ke jalwah hay qareeb  	ik zara so lain balaknay waalay
Koi un taiz rawoon say keh do 	kis kay ho kar rahain thaknay waalay
Dil sulagta hi bhal hay aye zabt 	bujh  bhi jaatay hain dahknay waalay
Ham bhi kamhlaanay say gafil thay kabhi 	kesa hansa gunchay chatknay waalay
Nakhal say chat kay ye kia haal huwa		Aah ao pattay kharhknay waalay
Jab giray munh soye maikhaana tha 	hosh man hain ye behknay waalay
Daikh aur zakham-e-dil aapay ko sanbhaal 	photo bahtay hain tapaknay waalay
May kahan aur kahan man zahid  	yoon bhi to chaktay hain chaknay waalay
Kaf-e-darya-e-karam man hain Raza
Paunch  fawaaray chaliknay waalay 




