Kia shor Zik’r-o-fik’r, dua panjgana kia
Aata nahin hay ish’q man Aanso bana kia
Aankhain bhi ashkbar han lab par Durood bhi
Rahmat ko ab bhi chaiye koi bahana kia
Rakha jo haath seenay pe dharhkan nahin mili
Dil, ho giya Madeenay ki janib Rawana kia?
Wo bhi han Aastan bhi hay, kar day Nisar jaan
Phir lot kar ab ayega ayesa zamana kia
Moosa ka Haal man’e-e-Hasrat huwa hamain
Taab-e-nazar nahin ho to nazrain uthana kia
Tasbeeh danay danay Musalla hay taar taar
Aaya hay khanqah man koi dawana kia
Darta hay kis liye gam-e-doraan say raat dn
Paala nahi hay to nay Gam-e-aashiqana kia
Ye marhalah hay zeest ka tay kar usay abhi
Ab mar kay hoga soo-e-Madeenah rawana kia
Deedar bhi Huzoor ka, kausar ka jaam bhi
Daikho Qaseedah likh kay mila hay khazanah kia
Sar ko jhuka dia jo dar-e-yaar par adeeb
Jab tak Qaza na aaye to sar ko uthana kia