Kis kay jalway ki jhalak hay ye ujaala kia hay
Har taraf deedah-e-hairat zadah takta kia hay
Maang min maanti munh maangi muraadain lay ga
Na yahan”na “ na mangtaa say ye kehna ”kia hay “
Pand karhwi lagay naasih say tursh ho aye naf’s
Zahar isyaan man sitamgar tujhay meetha kia hay
Ham un kay wo hain teray to huway ham teray
Us say barh kar teri simat aur waseelah kia hay
Un ki ummat man banaya unehain Rahmat bheja
Yoon na farma ke tera Raham man daawa kia hay
Sadqah piyaaray ki Hayya ka ken a lay mujh say hisaab
Bakhshash bay poochay lajaaye ko lajana kia hay
Zahid un ka man gunah gaar wo meray shaafi’e
Itni nisbat mujhay kia kam hay tu samjha kia hay
Bay basi ho jo mujhay pursash-e-aamaal kay waqat
Dosto! Kia kahoon us waqat tamanna kia hay
Kaash faryaad meri sun kay ye farmayen Huzoor
Han koi daikho ye kia shor hay goo gaan kia hay
Kon aafat zadah hay kis pe bala tooti hay
Kis museebat man griftaar hay sadmah kia hay
Kis say kehta hay ke lillah khabar lejiye meri
Kiyoon hay baitaab ye bay chaini ka rona kia hay
Us ki bay chaini say hay khatir-e-aqdas pe malaal
Bay kasi kesi hay poochoo koi guzara kia hay
Yoon malayek karein maarooz ke ik mujrim
Is say pursash hay bata tu ne kia kia kia hay
Saamna qahar ka hay daftar-e-aamaal hain paish
Dar raha hay ke khuda hukum sunaata kia hay
Aap say karta hay faryaad key a shaah-e-rusul
Bandah bay kas hay shaha raham man waqfah kia hay
Ab koi dam man griftaar bala hota hoon
Aap aajayen to kia khof hay khutka kia hay
Sun kay ye ar’z meri bahar-e-karam josh man aaye
Yoon malayek ko ho irshaad thehrna kia hay
Kis ko tum morid-e-aafaat kia chahtay ho!
Ham bhi to aa kay zara daikhian gay tamasha kia hay
Un ki awaaz par kar uthoon man bay sakhtah shor
Aur tarhp kar ye kahoon ab mujhay parwa kia hay
Lo wo aaya mera hami mera gam khawaar umam!
Aa gaye jaan tan-e-bay jaan man ye aana kia hay
Phir mujhay daaman-e-aqdas man chupa lain sarwar
Aur farmayen hato us pe taqazah kia hay
Bandah aazad shudah hay ye hamaray dar ka
Kesa laitay ho hisaab us pe tumhara kia hay
Chorh kar mujh ko frishtay kahain mahkoom hain ham
Hukum wala ki na taameel ho zaharah kia hay
Ye saman daikh kay mahshar man uthay shor ke waah
Chasham-e-bad door ho kia shaan hay rutbah kia hay
Sadqay is raham kay is saaya-e-daaman pe nisaar
Apnay banday ko museebat say bachaya kia hay
Aye Raza jaan-e-anadil teray nagmoon kay nisaar
Bulbul-e-baag-e-Madeenah tera kehna kia hay