Kis Se Maangeñ, Kahañ Jaayeñ, Kis Se Kaheñ, Aur Duniya Me Haajat Rawa Kaun Hai
Sab Ka Data Hai Tu, Sab Ko Deta Hai Tu, Tere Bandoñ Ka Tere Siwa Kaun Hai.
Kaun Maqbool Hai, Kaun Mardood Hai, Be-khabar! Kya Khabar Tujhko Kya Kaun Hai
Jab Tuleñge ‘Amal Sab Ke Meezaan Par Tab Khulega Ke KhoTa Khara Kaun Hai.
Kaun Sunta Hai Faryaad Mazloom Ki, Kis Ke Haathoñ Meiñ Kunji Hai Maqsoom Ki
Rizq Per Kis Ke Palte Haiñ Shah-o-Gada, Masnad-Aara-e-Bazm-e-‘Ata Kaun Hai.
Auliya Tere Mauhtaaj Ae Rabb-e-Kul ! Tere Bande Hain Sab Ambiya-o-Rusul
Inki Izzat Ka Baais Hai Nisbat Teri, Inki Pahchan Tere Siwa Kaun Hai.
Mera Maalik Meri Sun Raha Hai Fughaañ, Jaanta Hain Wo Khaamoshiyoñ Ki Zubaañ
Ab Meri Raah Mein Koyi Haail Na Ho, Naama-Bar Kya Bala Hai, Saba Koun Hai.
Ibtida Bhi Wohi, Inteha Bhi Wohi, Nakhuda Bhi Wohi Hai, Khuda Bhi Wohi
Jo Hai Saare Jahanoñ Me Jalwa Numa Us Ahad Ke Siwa Doosra Kaun Hai.
Wo Haqaaiq Hoñ Ashiya Ke Ya Khushk-o-Tar, Fahm-o-Idraak Ki Zad Meiñ Haiñ Sab, Magar
Maa-Siwa, Ek Us Zaat-e-Be-Rang Ke Fahm-o-Idraak Se Maa-wara Kaun Hai.
Ambiya, Auliya, Ahl-e-Bait-e-Nabi, Taaba’een-o-Sahaaba Pe Jab Aa Bani
Gir Ke Sajde Meiñ Sab Ne Yahi Arz Ki Tu Nahiñ Hai To Mushkil-Kusha Kaun Hai.
Ahl-e-Fikr-o-Nazar Jaante Haiñ Tujhe, Kuchh Na Hone Pe Bhi Maante Hain Tujhe
Ae Naseer ! Is Ko Tu Fazl-e-Baari Samajh Warna Teri Taraf Dekhta Kaun Hai