Kya hamd kar sakegi meri zabaan teri !
Saari nishaniyañ Haiñ ay be nishaan Teri
Aql o Sha’oortak ki hoti nahiñ rasaayi
Kya zaat paa sakeñge wahm o gumaan Teri
Kaun o Makaañ ki har shai labbaik kar rahi hai
Har simt goonjti hai paiham azaan Teri
Jo shai hai sirf teri ay Khaaliq e Do Aalam
Har ek jism tera har ek jaan Teri
Hai teri kibriyayi saabit ba-har qareena
Baatin hai Shaan Teri zaahir hai Shaan Teri
Teri rabubiyyat ki aaghosh hai kushada
Har amn ki ameeñ hai be shak amaan teri
Khalid ko bandagi ka ikhlaas Tu ne bakhsha
Chaahi hai Iste’aanat Ay Musta’aan Teri